SEARCH RESULTS
Showing search results for "bulaataa"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "bulaataa"
Ghazal
mai.n bulaataa to huu.n us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaa.e kuchh aisii ki bin aa.e na bane
Mirza Ghalib
Ghazal
raat kaa vaqt hai suuraj hai miraa raah-numaa
der se duur se ye kaun bulaataa hai mujhe
Shahryar
Ghazal
jab apne ghar pe bulaataa huu.n mai.n kabhii un ko
unhe.n zaruur ko.ii KHaas kaam hotaa hai
Peer Syed Naseeruddin Naseer Gilani
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "bulaataa"
Sher
Zafar Iqbal
Ghazal
mai.n jahaa.n tum ko bulaataa huu.n vahaa.n tak aa.o
merii nazro.n se guzar kar dil-o-jaa.n tak aa.o
Ali Sardar Jafri
Ghazal
Muztar Khairabadi
Hindi Ghazal
maut diivaar hai, diivaar ke us paar se ab
mujh ko rah rah ke bulaataa hai udhar hai ko.ii
Kunwar Bechain
Ghazal
Aashufta Changezi
Ghazal
Noor Jahan Sarwat
Ghazal
vo bulaataa hai jise pyaar se apnii jaanib
mai.n to paagal huu.n samajhdaar chale aate hai.n
Yasir Khan Inam
Sher
use kaho jo bulaataa hai gahre paanii me.n
kinaare se ba.ndhii kashtii kaa mas.ala samjhe
Azhar Faragh
Ghazal
ye bhii dekho ki kahaa.n kaun bulaataa hai tumhe.n
mahzar-e-shauq pa.Dho mahzar-e-sarkaar pe KHaak
Irfan Siddiqi
Ghazal
kabhii safar kabhii raKHt-e-safar ga.nvaataa hai
phir is ke baad ko.ii raasta banaataa hai



