SEARCH RESULTS
Showing search results for "len-den"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "len-den"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "len-den"
Sher
hamaarii jeb me.n KHvaabo.n kii rezgaarii hai
so len-den hamaaraa dukaa.n se baahar hai
Hasan Abbas Raza
Ghazal
hamaarii jeb me.n KHvaabo.n kii rezgaarii hai
so len-den hamaaraa dukaa.n se baahar hai
Hasan Abbas Raza
Ghazal
bahut nibhaa.ii len-den kii rasme.n bhii
kuchh aa.nsuu paa.e hai.n kuchh Gam kho.e hai.n
Usha Bhadoriya
Mazahiya
smuggler aur kursii-nashiino.n ke darmiyaa.n
pul ban ke len-den kaa har kaam kiijiye
Asrar jamayee
Ghazal
yahaa.n sitaare ko kyaa len-den karnaa thaa
jo TuuT-phuuT gayaa raabte banaataa hu.aa
Ashraf Saleem
Ghazal
visaal chho.D hame.n diid bhii nahii.n hotii
ki len-den me.n itnii kamii nahii.n hotii
Junaid Aabir
Ghazal
hotaa thaa apne beach mohabbat kaa len-den
barakat kaa kaarobaar thaa vo bhii nahii.n rahaa
Armaan Jodhpuri
Ghazal
bose ke badle dil unhe.n detaa to KHuub thaa
afsos len-den kii suurat biga.D ga.ii
Fazal Husain Sabir
Ghazal
rakhte hai.n len-den kaa puuraa yahaa.n hisaab
vaapas karoge utnaa hii jitnaa kahii.n se laa.o
Zafar Iqbal
Ghazal
ye len-den kii apnii hade.n bhii hotii hai.n
ki peT bhartaa hai jholii ko.ii nahii.n bhartaa
Raoof Khair
Ghazal
aa.nkho.n kii baat-chiit me.n pa.Dnaa ye soch kar
nazro.n ke len-den me.n dil kaa ziyaan hai
Syed Anwar Ahmad
Ghazal
dhanda hai len-den kaa ab she'r-o-shaa'irii
aataa hai 'vats' mujh ko sunaane bhii ko.ii kyaa
