SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-iKhtiyaar"
Sher MATCHES FOR "be-iKHtiyaar"
Sher
kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyaar aa hii gayaa
dil kuchh is suurat se ta.Dpaa un ko pyaar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
jazba-e-be-iKHtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
siina-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
naaseh ne meraa haal jo mujh se bayaa.n kiyaa
aa.nsuu Tapak pa.De mire be-iKHtiyaar aaj
Dagh Dehlvi
Sher
kuchh iKHtiyaar kisii kaa nahii.n tabii.at par
ye jis pe aatii hai be-iKHtiyaar aatii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
qismat me.n gar hamaarii ye mai hai to saaqiyaa
be-iKHtiyaar aap se shiisha karegaa jast
Nazeer Akbarabadi
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n pe paa.nv ba.Dhaa.uu.n kidhar qadam
raKHsh-e-KHayaal aaj hai be-iKHtiyaar phir
Akram Naqqash
Sher
puuchhaa agar kisii ne miraa aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyaar aah labo.n se nikal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
mai.n kyaa karuu.n ki zabt-e-tamannaa ke baavajuud
be-iKHtiyaar lab pe tiraa naam aa gayaa
Jagan Nath Azad
Sher
tumhaarii rah kaa rahaa ham ko har taraf dhokaa
chale jidhar ko so be-iKHtiyaar ho ke chale
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
mahfil ke biich sun ke mire soz-e-dil kaa haal
be-iKHtiyaar sham.a ke aa.nsuu Dhalak pa.De
Taban Abdul Hai
Sher
maanind-e-shama.a-majlis shab ashk-baar paayaa
al-qissa 'miir' ko ham be-iKHtiyaar paayaa
Meer Taqi Meer
Sher
lamhaat-e-vasl yaad jo aa.e shab-e-firaaq
yak-laKHt surKH ho ga.e aariz be-iKHtiyaar
Deepak Purohit
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
allaah re be-KHudii ki ham un ke hii ruu-ba-ruu
be-iKHtiyaar unhii ko pukaare chale ga.e
Shakeel Badayuni
Sher
kyaa sun chuke hai.n aamad-e-fasl-e-bahaar haath
jaate hai.n suu-e-jeb jo be-iKHtiyaar haath
Rind Lakhnavi
Sher
baraa.e-naam hii sahii ba-ehtiyaat kiijiye
daruun-e-kizb-o-iftiraa sadaaqate.n KHalat-malat
Rahi Fidai
Sher
ye ranjish me.n ham ko hai be-iKHtiyaarii
tujhe terii khaa kar qasam dekhte hai.n