SEARCH RESULTS
Showing search results for "'shaaz'"
Ghazal MATCHES FOR "'shaaz'"
Ghazal
jafaa jafaa hii agar hai to ranj kyaa ho 'shaaz'
vafaa kii pusht-panaahii bhii ho jafaa ke liye
Shaz Tamkanat
Ghazal
ham tujh se ko.ii baat bhii karne ke nahii.n the
imkaan bhii haalaat sa.nvarne ke nahii.n the
Zakariya Shaz
Ghazal
Shaz Tamkanat
Ghazal
ham baras pa.Dte the 'shaaz' apnii hii tanhaa.ii par
abr kii tarah kisii dar se uThaa karte the
Shaz Tamkanat
Ghazal
Gam vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad
sub.h-dam dekhe.n to utnaa hii safar bachtaa hai
Rehman Faris
Ghazal
yaado.n se kaho merii baalii.n se chalii jaa.e.n
ab ai shab-e-tanhaa.ii aaraam zaraa luu.ngaa
Shaz Tamkanat
Ghazal
charaaG rakh ke sar-e-shaam dil ke ziine par
mujhe KHabar nahii.n hotii sudhaartaa hai ko.ii
Shaz Tamkanat
Ghazal
fazaa kii aa.nkh bhar aa.ii havaa kaa rang u.Daa
sukuut-e-shaam ne chupke se teraa naam liyaa
Shaz Tamkanat
Ghazal
Gazab hai TuuT ke chaahaa thaa 'shaaz' ne jis ko
sunaa ye rasm bhii thii suurat-aashnaa.ii tak
Shaz Tamkanat
Ghazal
khi.Dkii to 'shaaz' band mai.n kartaa huu.n baar baar
lekin havaa-e-shauq ki zid par a.Dii rahe
Zakariya Shaz
Ghazal
manaayaa jashn-e-shab-e-Gam ki ek din to kaTaa
jo tujh se chhuuT ke jiitaa rahe vo kyaa na kare
Shaz Tamkanat
Ghazal
ko.ii to aa ke rulaa de ki ha.ns rahaa huu.n mai.n
bahut dino.n se KHushii ko taras rahaa huu.n mai.n
Shaz Tamkanat
Ghazal
azal se taa-ba-abad koshish-e-javaab hai 'shaaz'
vo ik savaal jo mub.ham rahaa hai aa.nkho.n me.n
Shaz Tamkanat
Ghazal
visaal-e-yaar kii ai dil ko.ii pur-zor koshish kar
havaa-e-aah se parda uThaa de shaam-e-furqat kaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Ghazal
gar sun sako to 'shaaz' kii KHaamoshiyaa.n suno
takliif-e-arz-e-haal mukarrar mujhe na do
Shaz Tamkanat
Ghazal
Shaz Tamkanat
Ghazal
'shaaz' ab kaun sii tahriir ko taqdiir kahuu.n
ko.ii likhtaa hai mujhe ko.ii miTaataa hai mujhe