SEARCH RESULTS
Showing search results for ",UDLo"
Ghazal MATCHES FOR ",uDlo"
Ghazal
adl-o-insaaf taqaazaa-e-mashiyyat hii sahii
zindagii hii me.n magar roz-e-jazaa kyuu.n aa.e
Shahzad Ahmad
Ghazal
adl-o-insaaf kii azmat ko bachaane ke liye
sar ko kaTvaa diyaa ilzaam se pahle pahle
Syed Arif Ali Arif
Ghazal
adl-o-vafaa-o-amn-o-mohabbat ko chho.D kar
saahab tumhaare raaj me.n kyaa kyaa nahii.n hu.aa
Monis Faraz
Ghazal
ye tire adl-o-musaavaat me.n rakkhaa hu.aa hai
tuu ne to ajr bhii darjaat me.n rakkhaa hu.aa hai
Arshad Abbas Zaki
Ghazal
Zubair Bahadur Josh
Ghazal
adl-o-insaaf ravaa taaki dobaara ho jaa.e.n
faisla karne na munsif ko bhii man-maanaa de
Nihal Rizvi
Ghazal
‘adl-o-insaaf shahanshaah ke aivaa.n me.n kahaa.n
dekhne ke liye zanjiir lagii rahtii hai
Irfan Aazmi
Ghazal
kahuu.n to kaise kahuu.n us ko daur-e-adl-o-ataa
hai daar-o-giir abhii jabr-o-iKHtiyaar abhii
Jaleel Sherkoti
Ghazal
Riyaz Anwar
Ghazal
Gariib ‘adl-o-musaavaat chiiKHtaa hii rahe
amiir-e-shahr Gariibo.n se zaat-paat kare
Yasir Abul Aas
Ghazal
kyaa qayaamat hai ki vo log jo KHud bismil the
'adl-o-insaaf kii miizaan me.n qaabil Thahre
Anwar Ali Khan Soz
Ghazal
phir shauq kar rahaa hai KHariidaar kii talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
sach jahaa.n paa-basta mulzim ke kaTahre me.n mile
us adaalat me.n sunegaa adl kii tafsiir kaun
Parveen Shakir
Ghazal
tashkiik hai, na ja.ng hai maabain-e-aql-o-dil
bas ye yaqiin hai ki KHudaa hai, ye ishq hai
Irfan Sattar
Ghazal
nafiis naak nazaakat siraat 'adl bahaar
jamiil sutvaa.n mo'attar latiif KHushbuu rachii
Shahzad Qais
Ghazal
zamii.n jab adl se bhar jaa.egii nuurun-alaa-nuur
ba-naam-e-maslak-o-maz.hab tamaashaa KHatm hogaa
Iftikhar Arif
Ghazal
hausla ho to u.Do mere tasavvur kii tarah
merii taKH.iil ke gulzaar-e-jinaa.n tak aa.o
Ali Sardar Jafri
Ghazal
hosh-o-havaas-o-aql-o-KHirad de ga.e javaab
yaanii nahii.n huu.n mai.n kisii qaabil tire baGair