SEARCH RESULTS
Showing search results for "افعی"
Ghazal MATCHES FOR "افعی"
Ghazal
sabza-e-KHat se tiraa kaakul-e-sarkash na dabaa
ye zamurrad bhii hariif-e-dam-e-af.ii na hu.aa
Mirza Ghalib
Ghazal
baaG paa kar KHafaqaanii ye Daraataa hai mujhe
saaya-e-shaaKH-e-gul af'ii nazar aataa hai mujhe
Mirza Ghalib
Ghazal
af'ii kii tarah Dasne lagii mauj-e-nafas bhii
ai zahr-e-Gam-e-yaar bahut ho chukii bas bhii
Ahmad Faraz
Ghazal
us kii kaakul hai burii maan kahaa ai af.ii
dekhiyo us se tuu kaa.ndhaa na raga.D kar chalnaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
zulfe.n chhuTii hu.ii hai.n jo chehre pe do taraf
lahraa rahe hai.n af.ii-e-pechaa.n idhar-udhar
Naseem Dehlvi
Ghazal
afsaana-go.ii af.ii-e-gesuu-e-yaar me.n
KHaamosh ho.n charaaG jo ham guftuguu kare.n
Haidar Ali Aatish
Ghazal
Das liyaa af'ii-e-shaam-e-shab-e-furqat ne mujhe
phir na jaaguu.ngaa agar nii.nd zaraa bhii aa.ii
Akbar Allahabadi
Ghazal
mire haath par khele hai.n af.ii-e-zulf
ye saa.np aastiino.n ke paale hu.e hai.n
Riyaz Khairabadi
Ghazal
af.ii bhii so rahe hai.n chamelii kii chhaa.nv me.n
nau-vaarid-e-chaman ho sambhal kar chalaa karo
Bilqis Zafirul Hasan
Ghazal
saaya-e-zulf ne us ke ye diyaa dhokaa raat
chalne vaalo.n ne jise af.ii-e-rahzan samjhaa
Shah Naseer
Ghazal
uglaa jo zahr af.ii-e-gesuu-e-yaar ne
har muu-e-maar-e-zulf-e-siyah maar ho gayaa
Meer Kallu Arsh
Ghazal
dekho kisii chehre pe jo gesuu ko.ii bal-daar
af.ii hai use zulf-e-chaliipaa na samajhnaa
Rind Lakhnavi
Ghazal
paivast the zamiin se afa.aa shajar se tiir
juu.n hii judaa mai.n shaam-e-azaa-daar se hu.aa
Afzal Ahmad Syed
Ghazal
us zulf-e-jaa.n kuu.n sanam kii balaa kaho
afa.ii kaho siyaah kaho azhdahaa kaho
Abroo Shah Mubarak
Ghazal
af.ii nahii.n khulii hu.ii zulfo.n kaa aks hai
jaate kahaa.n ho aa.iina o shaana chho.D kar
Nazm Tabatabai
Ghazal
zulf-e-gul ro ke gale mil kar jo aa.egii 'nasiim'
hogii sumbul af.ii-e-ganj-e-shahiidaan-e-bahaar
Nasim Maysori
Ghazal
kah vo mashshaata se af.ii hai vo zulf
us ke kaaTe kaa nahii.n mantar na chhe.D