SEARCH RESULTS
Showing search results for "باپ۔"
Ghazal MATCHES FOR "باپ۔"
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
baap larzaa.n hai ki pahu.nchii nahii.n baaraat ab tak
aur ham-joliyaa.n dulhan ko sa.nvaare jaa.e.n
Ahmad Faraz
Ghazal
Munawwar Rana
Ghazal
mujh ko tajrabo.n ne hii baap ban ke paalaa hai
sochtaa huu.n kyaa likhuu.n valdiyat ke KHaane me.n
Amir Ameer
Ghazal
faisle lamhaat ke naslo.n pe bhaarii ho ga.e
baap haakim thaa magar beTe bhikaarii ho ga.e
Rahat Indori
Ghazal
ghar lauT ke ro.e.nge maa.n baap akele me.n
miTTii ke khilaune bhii saste na the mele me.n
Qaisarul Jafri
Ghazal
ra.ng chehre kaa to collage ne bhii rakkhaa qaa.im
ra.ng-e-baatin me.n magar baap se beTaa na milaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
zindagii baap kii maanind sazaa detii hai
rahm-dil maa.n kii tarah maut bachaane aa.ii
Kaif Bhopali
Ghazal
mujhe zaraa saa buraa kah diyaa to is se kyaa
vo itnii baat pe maa.n baap se la.Dii hu.ii hai
Amir Ameer
Ghazal
baap bojh Dhotaa thaa kyaa jahez de paataa
is liye vo shahzaadii aaj tak ku.nvaarii hai
Manzar Bhopali
Ghazal
mai.n vo mele me.n bhaTaktaa hu.aa ik bachcha huu.n
jis ke maa.n baap ko rote hu.e mar jaanaa hai
Munawwar Rana
Ghazal
ko.ii pa.Dosii tang ho chaahe kisii se jang ho
ghar hai ye apne baap kaa ko.ii hame.n chupaa.e kyo.n
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
puraane ghar ko giraayaa to baap rone lagaa
KHushii ne dil saa dukhaayaa to baap rone lagaa
Shahzad Qais
Ghazal
aa.ii jis roz se beTii pe javaanii us kii
baap har vaqt pareshaan nazar aataa hai
Abhishek Kumar Amber
Ghazal
KHud mar gayaa thaa jin ko bachaane me.n pahle baap
ab ke fasaad me.n vahii bachche nahii.n rahe
Nawaz Deobandi
Ghazal
is na.e daur ne maa.n-baap kaa haq chhiin liyaa
apne bachcho.n ko nasiihat bhii nahii.n kar sakte
Abbas Dana
Ghazal
apne maa.n-baap ko kaa.ndhaa bhii nahii.n de paayaa
jo ye kahtaa thaa unhe.n saarii kamaa.ii duu.ngaa