SEARCH RESULTS
Showing search results for "بشارت"
Ghazal MATCHES FOR "بشارت"
Ghazal
vo chaa.ndnii kii bashaarat hai harf-e-aaKHir tak
'bashiir-badr' ko laa.o ba.Daa a.ndheraa hai
Bashir Badr
Ghazal
shaayad is baar mile ko.ii bashaarat 'amjad'
aa.iye phir se muqaddar kii jabii.n dekhte hai.n
Amjad Islam Amjad
Ghazal
aavaara hai phir koh-e-nidaa par jo bashaarat
tamhiid-e-masarrat hai ki tuul-e-shab-e-Gam hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
tere aane kii bashaarat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
baaG me.n suukhe daraKHto.n kaa haraa ho jaanaa
Rehman Faris
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
ta.abiir nazar aane lagii KHvaab kii suurat
ab KHvaab hii dekhoge bashaarat na milegii
Pirzada Qasim
Ghazal
mujhe na jannat-e-gum-gashta kii bashaarat de
ki mujh ko yaad abhii tak hai hijrat-e-avval
Ahmad Faraz
Ghazal
dil dha.Daktaa hai to vo aa.nkh bulaatii hai mujhe
saa.ns aatii hai to miltii hai bashaarat us kii
Shahzad Ahmad
Ghazal
ab faisla karne kii ijaazat dii jaa.e
yaa phir hame.n manzil kii bashaarat dii jaa.e
Saleem Kausar
Ghazal
tire KHayaal ne tasKHiir kar liyaa hai mujhe
ye qaid bhii hai bashaarat bhii hai rihaa.ii kii
Iqbal Ashhar
Ghazal
vaaraftagi-e-sub.h-e-bashaarat ko KHabar kyaa
andesha-e-sad-shaam-e-Gariibaa.n bhii miraa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
Azm Bahzad
Ghazal
jaane kab hogaa mirii zaat pe aap-apnaa nuzuul
KHvaab ko.ii to kabhii merii bashaarat mujhe de
Farhat Ehsas
Ghazal
ko.ii muzhda na bashaarat na du.aa chaahtii hai
roz ik taaza KHabar KHalq-e-KHudaa chaahtii hai
Iftikhar Arif
Ghazal
vus.at-e-chashm ko andoh-e-basaarat likhkhaa
mai.n ne ik vasl ko ik hijr kii haalat likhkhaa
Azm Bahzad
Ghazal
Shanawar Ishaq
Ghazal
bisaat-e-ra.ng thii muTThii me.n us kii
qadam us kaa bashaarat kii tarah thaa