SEARCH RESULTS
Showing search results for "بے_ضرر"
Ghazal MATCHES FOR "بے_ضرر"
Ghazal
kitnii hii be-zarar sahii terii KHaraabiyaa.n
'baasir' KHaraabiyaa.n to hai.n phir bhii KHaraabiyaa.n
Basir Sultan Kazmi
Ghazal
bhalii lagtii nahii.n takraar itnii
ba-zaahir be-zarar sachchaa.iyaa.n hai.n
Wali Alam Shaheen
Ghazal
zaraa aage chaloge to izaafa ilm me.n hogaa
mohabbat pahle pahle be-zarar mahsuus hotii hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
tirii dushmanii KHud hii maa.il rahii
kisii rishta-e-be-zarar kii taraf
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
bajaa.e ham-safrii itnaa raabta hai bahut
ki mere haq me.n tirii be-zarar du.aa hai bahut
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
phuu.nktaa rahtaa hai kaunain ko jin kaa partav
be-zarar hai unhii.n jalvo.n kaa tamaashaa dil me.n
Makhmoor Jalandhari
Ghazal
Sharafat Husain
Ghazal
dostii ke vaaste merii faqat ik shart hai
dost dil kaa saaf ho jo be-zarar bhii chaahiye
Basheer Ahmad Basheer
Ghazal
'saliim' chaaro.n-taraf tiirgii ke jaal ghane
pa ham ko neshtar-e-be-zarar nasiib hu.aa
Saleem Sarfaraz
Ghazal
zaraa saa nikle to ye shahr ulaT palaT jaa.e
vo apne ghar me.n bahut be-zarar saa rahtaa hai
Salim Saleem
Ghazal
vo zamaane kaa taGayyur ho ki mausam kaa mizaaj
be-zarar dono.n hai.n naira.ngi-e-aadaam ke sivaa
Arshad Kamal
Ghazal
kahne se pahle itnaa to laazim hai sochnaa
jo baat mu.nh se niklegii vo be-zarar bhii hai