SEARCH RESULTS
Showing search results for "راز_دار"
Ghazal MATCHES FOR "راز_دار"
Ghazal
vo samajhtaa hai use jo raaz-daar-e-naGma hai
aah kahte hai.n jise sirf ik sharaar-e-naGma hai
Nazish Partap Gadhi
Ghazal
thaa ek raaz-daar-e-mohabbat se lutf-e-ziist
lekin vo raaz-daar-e-mohabbat kahaa.n milaa
Jameeluddin Aali
Ghazal
Gair ko raaz-daar kyaa kartaa
mai.n 'bashiir' aap se bhii Dartaa huu.n
Syed Bashir Husain Bashir
Ghazal
jis ko tuu samjhe hu.aa hai raaz-daar
raaz us ko bhii bataa ik had talak
Ram Chandr Varma Sahil
Ghazal
kitnii mauje.n Duube.n-gii saahilo.n ke daaman me.n
qurbato.n kii koshish me.n raaz-daar hone tak
Farah iqbal
Ghazal
hai zindagii 'adiib' kii ab bhii hijaab me.n
ham us ke raaz-daar hu.e bhii to kyaa hu.e
Adeeb Malegavi
Ghazal
KHud apne raaz bhii KHud se chhupaa ke phirte hai.n log
yahaa.n banaa.e ko.ii apnaa raaz-daar kise
Makhmoor Saeedi
Ghazal
'aalim' jahaan-e-ishq ki dushvaariyaa.n na puuchh
dil ko jo raazdaar-e-jigar kar sake to kar
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Ghazal
hai.n samt samt ayaa.n KHair-o-shar ke ha.ngaame
ki aadmii ko KHudaa.ii kaa raaz-daar kare.n
Samad Ansari
Ghazal
'qalaq' kyuu.n ke parda na uThtaa hamaaraa
ki hai baKHiya-gar raaz-daar-e-garebaa.n
Qalaq Merathi
Ghazal
dil hamaaraa hai ham is ke hai.n azal se raaz-daar
aap KHud aa kar sar-e-baazaar rusvaa kiijiye
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Ghazal
mai.n huu.n azal se vaqt kii gardish kaa raaz-daar
ye bazm-e-kaa.enaat hai kyaa meraa jism hai
Zia Jalandhari
Ghazal
KHudaa kare yahii.n ruk jaa.e gardish-e-dauraa.n
hai raazdaar-e-mohabbat sukuut-e-niim-shabii
Saqib Kanpuri
Ghazal
na raaz faash ho meraa tasavvur-e-jaanaa.n
mai.n dard-o-Gam kaa tujhe raaz-daar kartaa huu.n
Syed Akhtar Ali Akhtar
Ghazal
ham apne raaz pe naazaa.n the sharmsaar na the
har ek se suKHan-e-raaz-daar karte rahe