SEARCH RESULTS
Showing search results for "سانپ"
Ghazal MATCHES FOR "سانپ"
Ghazal
faaKHta kii majbuurii ye bhii kah nahii.n saktii
kaun saa.np rakhtaa hai us ke aashiyaane me.n
Bashir Badr
Ghazal
Ahmad Salman
Ghazal
mai.n jaantaa thaa ki zahriilaa saa.np ban ban kar
tiraa KHuluus mirii aastii.n se niklegaa
Rahat Indori
Ghazal
khel dono.n kaa chale tiin kaa daana na pa.De
sii.Dhiyaa.n aatii rahe.n saa.np kaa KHaana na pa.De
Umair Najmi
Ghazal
the pahle hii ka.ii saa.np aastii.n me.n
ab ik bichchhuu bhii paalaa jaa rahaa hai
Rahat Indori
Ghazal
vo kapkapaate hu.e ho.nT mere shaane par
vo KHvaab saa.np kii maanind Das gayaa mujh ko
Ahmad Faraz
Ghazal
soyaa hu.aa thaa shahr kisii saa.np kii tarah
mai.n dekhtaa hii rah gayaa aur chaa.nd Dhal gayaa
Muneer Niyazi
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
saa.np ke kaaTe kii lahre.n hai.n shab-o-roz aatii.n
kaakul-e-yaar ke saude ne aziyyat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
merii ummiido.n se lipTe rahe andesho.n ke saa.np
umr har daur me.n kaTtii rahii chandan ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
Ghazal
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
kaTe to shab kahe.n kaaTe to saa.np kahlaave
ko.ii bataa.o ki vo zulf-e-KHam-ba-KHam kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
tamaashaa KHatm hu.aa dhuup ke madaarii kaa
sunahrii saa.np chhupe shaam ke piTaare me.n
Iqbal Sajid
Ghazal
Javed Akhtar
Ghazal
sunegaa kaun magar ehtijaaj KHushbuu kaa
ki saa.np zahr chhi.Daktaa rahaa chamelii par
Mohsin Naqvi
Ghazal
Muneer Niyazi
Ghazal
Daste rahte hai.n ka.ii log yahaa.n saa.np-mizaaj
aur ham zaKHm chhupaate hu.e thak jaate hai.n