SEARCH RESULTS
Showing search results for "شریک_سفر"
Ghazal MATCHES FOR "شریک_سفر"
Ghazal
mujhe bhii apnaa shariik-e-safar shumaar karo
sahar ke bujhte diyo meraa intizaar karo
Musavvir Sabzwari
Ghazal
Galat ki ko.ii shariik-e-safar nahii.n 'aslam'
sulagte aks hai.n jalte hu.e ishaare hai.n
Aslam Kolsarii
Ghazal
afsos mustafiiz musaafir na ho sake
haalaa.nki vo shariik-e-safar der tak rahaa
Abdus Sattar Danish
Ghazal
qabaahate.n to yahii.n hai.n masaafato.n me.n mirii
safar nayaa hai shariik-e-safar puraane hai.n
Mahshar Badayuni
Ghazal
hamaare saath shariik-e-safar hai.n tuufaa.n bhii
hame.n to raasta bhii bijliyaa.n bataatii hai.n
Nafas Ambalvi
Ghazal
agar shariik-e-safar ho mizaaj se vaaqif
to zindagii kaa safar kaamraa.n guzartaa hai
Aalam Nizami
Ghazal
hamraah chaa.nd ke to sitaaro.n kaa hai hujuum
suuraj ke saath ko.ii shariik-e-safar nahii.n
Farooq Anjum
Ghazal
mai.n intihaa-e-yaas me.n tanhaa kha.Daa rahaa
saaya miraa shariik-e-safar Dhuu.nDhtaa rahaa
Shahid Kaleem
Ghazal
taviil the jo vahii faasle simaT se ga.e
miraa shariik-e-safar jab tiraa KHayaal hu.aa
Rahman Khawar
Ghazal
samajh rahaa huu.n 'muzaffar' use shariik-e-safar
jo mere saath qadam do qadam chalaa bhii nahii.n
Muzaffar Warsi
Ghazal
'daanish' mire shariik-e-safar hai.n vo kaj-mizaaj
saahil ne jin ko phe.nk diyaa hai bahaav par
Ehsan Danish
Ghazal
shaa.ir bane hai.n doctor jo doctor na the
manzil unhe.n milii jo shariik-e-safar na the
Bulbul Kashmiri
Ghazal
chale ga.e hai.n na-jaane kahaa.n shariik-e-safar
mujhe hayaat kii raaho.n me.n chho.D kar tanhaa
Zafar Akbarabadi
Ghazal
safar nasiib hu.aa hai usii ke saath ki jo
kisii taraf se shariik-e-safar nahii.n lagtaa
Azwar Shirazi
Ghazal
kisii ko kaise bataatii mai.n manzilo.n kaa pata
jab apne saath shariik-e-safar nahii.n hu.ii mai.n