SEARCH RESULTS
Showing search results for "شطرنج"
Ghazal MATCHES FOR "شطرنج"
Ghazal
ek shatranj-numaa zindagii ke KHaano.n me.n
aise ham shaah jo pyaado.n ke nishaane nikle
Amir Ameer
Ghazal
yaa.n to aatii nahii.n shatranj-zamaana kii chaal
aur vaa.n baazii hu.ii maat chalii jaatii hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
luuTuu.n maze jo baazii-e-shatranj jiit luu.n
is khel me.n to vaa'da hai bos-e-kanaar kaa
Ahmad Husain Mail
Ghazal
ishq-baazii baazii-e-shatra.nj hai
chaal naadaa.n rah gayaa daana chalaa
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Ghazal
har qadam shatranj jaisii chaal chaltii zindagii
jiit ho yaa haar ho sab ek KHaane par rakhaa
Raghvendra Dwivedi
Ghazal
zindagii khel hai shatranj se bhii pechiida
jaan.ne vaalaa bhii is baab me.n kyaa jaantaa hai
Aurang zeb
Ghazal
carrom ho shatranj ho yaa phir ishq hii ho
khel ko.ii ho ham ne be-iimaanii kii
Swappnil Tiwari
Ghazal
mire mulaazim o KHargaah asp aur shatranj
sab aa.e.n nazm se maatam-kunaa.n mire piichhe
Mohammad Izhar ul Haq
Ghazal
hunar hai shaa.irii shatranj shauq hai meraa
ye jaa.idaad 'muzaffar' milii hai virse me.n
Muzaffar Warsi
Ghazal
Hatim Ali Mehr
Ghazal
Aurang zeb
Ghazal
zindagii ko zaraa shatranj samajh kar dekho
mere jhuk jaane me.n tadbiir bhii ho saktii hai
Zeeshaan sajid
Ghazal
jab baazii haarne lago to Gaur se zaraa
shatranj pe bichhe hu.e mohre pa.Dhaa karo
Sameena Rahmat Manal
Ghazal
KHaano.n me.n bhaTaktaa nazar aayaa mujhe insaan
shatranj zamaana kaa piyaada to nahii.n hai
Farasat Rizwi
Ghazal
shatranj jaisii mujh ko lage hai ye zindagii
chalnaa har ek chaal samajhdaar kii tarah
Kaukab Zaki
Ghazal
ishq-baazii baaz le shatranj hai
chaal naadaa.n rah gayaa daanaa chalaa