SEARCH RESULTS
Showing search results for "طریقے"
Ghazal MATCHES FOR "طریقے"
Ghazal
hazaar mujh se vo paimaan-e-vasl kartaa rahaa
par us ke taur-tariiqe mukarne vaale the
Jamal Ehsani
Ghazal
ab bhiik maa.ngne ke tariiqe badal ga.e
laazim nahii.n ki haath me.n kaasa dikhaa.ii de
Zafar Gorakhpuri
Ghazal
mai.n ne do chaar kitaabe.n to pa.Dhii hai.n lekin
shahr ke taur-tariiqe mujhe kam aate hai.n
Bashir Badr
Ghazal
Dagh Dehlvi
Ghazal
sach bolne ke taur-tariiqe nahii.n rahe
patthar bahut hai.n shahr me.n shiishe nahii.n rahe
Nawaz Deobandi
Ghazal
alfaaz me.n iz.haar-e-mohabbat ke tariiqe
KHud ishq kii nazro.n me.n bhii maayuub rahe hai.n
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
sab apne apne tariiqe se bhiik maa.ngte hai.n
ko.ii ba-naam-e-mohabbat ko.ii ba-jaama-e-ishq
Abid Wadood
Ghazal
sau tariiqe the KHud-kushii ke magar
ham bhii paagal the aashiqii kar lii
Dipak Prajapati Khaalis
Ghazal
kis tariiqe se karuu.n KHud-kushii is soch me.n huu.n
hijr ke rog se saamaan liyaa hai mai.n ne
Kashif Lashari
Ghazal
aur bhii kitne tariiqe hai.n bayaan-e-Gam ke
muskuraatii hu.ii aa.nkho.n ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat
Ghazal
jaa.nchaa hai kisii aur tariiqe se ye sab kuchh
parkhaa hai kisii apne hii me.aar se ham ne
Zafar Iqbal
Ghazal
juz tire aur tariiqe bhii nikal sakte the
ham ne dekhaa hii nahii.n KHud ko dobaara kar ke
Manish Shukla
Ghazal
ya.anii ki ishq chho.D ke sab kuchh kiyaa gayaa
kyaa kyaa tariiqe ishq ke iijaad ho ga.e
Khan Hasnain Aqib
Ghazal
is tariiqe se nahii.n pyaar jataayaa mujh se
jis tariiqe se hai us ne miraa bachcha chuumaa
Qamar Aasi
Ghazal
khoj rahe the ruuh ko jismo.n ke raste se
taur-tariiqe paagalo.n vaale kar rakkhe the