SEARCH RESULTS
Showing search results for "قاش"
Ghazal MATCHES FOR "قاش"
Ghazal
taare us raat bhii chamke the magar is Dhab se
jaise kaT jaa.e ko.ii jism-e-hasii.n qaash-ba-qaash
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
kaaT kar badan saaraa qaash qaash me.n jhaa.nke.n
aap ke hayuule hii qalb-o-jaa.n me.n nikle.nge
Adeem Hashmi
Ghazal
balaa kaa habs thaa 'saajid' havaa kii bastii me.n
chalii jo saa.ns kii aarii mai.n qaash qaash hu.aa
Iqbal Sajid
Ghazal
Wazir Agha
Ghazal
dikhaa ke ham ko hamaaraa hii qaash qaash badan
dilaase dete hai.n dekho to qaatilaa.n kyaa kyaa
Amjad Islam Amjad
Ghazal
miTTii ne pii liyaa hai haraarat bharaa lahuu
josh-e-numuu milaa to badan qaash qaash hai
Afzal Minhas
Ghazal
phe.nkii na jaane us ne mirii qaash-e-dil kahaa.n
a.ngushtarii me.n ab to nagiina hii aur hai
Shaanul Haq Haqqi
Ghazal
ai musavvir jo hu.aa manquush tere haath se
vo kahaa.n tasviir ban saktii kisii se qaash kii
Qasim Ali Khan Afridi
Ghazal
mirii baqaa kaa taqaazaa hai jab bhii rut badle
mai.n jam.a az-sar-e-nau apnii qaash qaash karuu.n
Roohi Kanjahi
Ghazal
ye jaan-e-naa-tavaa.n bhii hai kyaa samra-e-hayaat
rakh dii ga.ii hai kaaT ke ik qaash kii tarah
Kavish Badri
Ghazal
jahaa.n se chaahaa uThaa kar chakhaa rakhaa vaapas
shu.uur-e-zaat kisii phal kii qaash tho.Dii hai
Saba Tabish
Ghazal
samar se puuchh lo zauq-e-taraash kaisaa hai
vo dil jo tum ne kiyaa qaash qaash kaisaa hai
Rahi Fidai
Ghazal
vo thaa sitaara-e-ra.ngii.n ki maahtaab kii qaash
hu.ii jo shab to tire lab pe rang ubharne lagaa
Jamshed Masroor
Ghazal
qaab-e-jahaa.n pe rakkhe phalo.n ne mujhe kahaa
mehmaan tere hisse me.n ik-aadh qaash hai
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
Ghazal
Mohammad Izhar ul Haq
Ghazal
badan me.n KHuun kii shaayad kamii hu.ii paidaa
kahii.n bhii sangtare kii milii na qaash mujhe
Aftab Khan
Ghazal
Tabeeb Arvi
Ghazal
qalb teraa ho chukaa hai qaash qaash
tuu faqat ab baiTh kar sapne taraash