SEARCH RESULTS
Showing search results for "متحمل"
Ghazal MATCHES FOR "متحمل"
Ghazal
dard-e-firaaq-e-yaar se dono.n hai.n be-qaraar
qaabuu me.n dil nahii.n mutahammil jigar nahii.n
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
kab se mutahammil hai jafaa.o.n kaa dil-e-zaar
zinhaar-vafaa ho na sakii yaar se ab tak
Meer Taqi Meer
Ghazal
na sahii KHaak ke putlo.n me.n sifaat-e-malakii
baare is baar-e-vafaa ke mutahammil to hu.e
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
dil-e-naazuk mutahammil nahii.n Gam ho ki suruur
phuul maqtuul hai KHud apnii hii ra.anaa.ii kaa
Saqib Lakhnavi
Ghazal
Gam kyaa mutahammil jo nahii.n merii nazar ke
vo mere tasavvur se to pardaa nahii.n karte
Makhmoor Jalandhari
Ghazal
ham baar-e-ishq ke mutahammil na ho sake
bas dil paka.D ke baiTh ga.e vo uThaa.e ra.nj
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Ghazal
tirchhii nazar na ho taraf-e-dil to kyaa karuu.n
lailaa ke naa-pasand ho mahmil to kyaa karuu.n
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
anjuman daaG-e-jigar kii mutahammil na hu.ii
kaash ham ne bhii ko.ii sham.a jalaa lii hotii
Ezaz Afzal
Ghazal
yuu.n dil hai har ik ranj-o-alam kaa mutahammil
lekin Gam-e-dauraa.n Gam-e-jaanaa.n to nahii.n hai
Ram Krishn Muztar
Ghazal
shiishe ke makaa.n aur nazar ke mutahammil
diivaana na ban shahr-e-nigaaraa.n se guzar jaa
Dil Ayubi
Ghazal
taab zarre hai.n agar ho to vahii dil ho jaa.e
aam jalva hai tiraa jo mutahammil ho jaa.e
Ijtiba Rizvi
Ghazal
Gair ke vaaste pak.De hai tuu har dam sau baar
mutahammil nahii.n ham aise kuduurat kii tirii