SEARCH RESULTS
Showing search results for "مرہون"
Ghazal MATCHES FOR "مرہون"
Ghazal
hamaaraa ilm to marhuun-e-lauh-e-dil hai miyaa.n
kitaab-e-aql to bas taaq par dharii hu.ii hai
Irfan Sattar
Ghazal
merii biinaa.ii tire qurb kii marhuun hai dost
haath chho.Dvaa ke bhalaa tujh se kidhar jaanaa hai
Rakib Mukhtar
Ghazal
KHataa-vaar-e-muravvat ho na marhuun-e-karam ho jaa
masarrat sar jhukaa.egii parastaar-e-alam ho jaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
puuchh mat rusvaa.i-e-andaaz-e-istiGnaa-e-husn
dast marhuun-e-hinaa ruKHsaar rahn-e-Gaaza thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
vo kyaa nigaah jo marhuun-e-jaam hii rakkhe
vo haath kyaa hai jo girte hu.o.n ko thaam na le
Shamim Jaipuri
Ghazal
Ehsan Danish
Ghazal
ishq marhuun-e-hikaayaat-o-gumaa.n bhii hogaa
vaaqi.a hai to kisii taur bayaa.n bhii hogaa
Arshad Abdul Hamid
Ghazal
miTaa diyaa unhe.n KHud vaqt ke taqaazo.n ne
jo log vaqt ke marhuun-e-iltifaat rahe
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
kisii ke rang ke marhuun hai.n na lahje ke
ki ham me.n jo bhii hai achchhaa buraa shuruu.a se hai
Babar Ali Asad
Ghazal
ye haq parastiyaa.n mirii marhuun-e-kufr hai.n
ye din to faiz-e-sohbat-e-baatil se aa.e hai.n
Aleem Usmani
Ghazal
husn marhuun-e-tamaashaa-e-tamanna us kaa
jo ki haatho.n se mire rang-e-hinaa le jaa.e
Tasneem Abidi
Ghazal
juu.n sard rakhaa sa.ng-e-jafaa se mujhe aazaad
marhuun tiraa jii se mai.n ai be-samarii huu.n
Qayem Chaandpuri
Ghazal
terii marhuun-e-navaazish mirii sarshaari-e-KHaak
mai-kada teraa mai-e-naab tirii KHum teraa
Ishrat Zafar
Ghazal
pur ta.assur thii bahut un kii KHitaabat lekin
chand baate.n hai.n ki marhuun-e-vazaahat hai.n abhii
Shafiq Saleemi
Ghazal
tishnagii miT na sakii kaam-o-dahan kii 'faariG'
zindagii muft me.n marhuun-e-KHaraabaat hu.ii