SEARCH RESULTS
Showing search results for "مطالعہ"
Ghazal MATCHES FOR "مطالعہ"
Ghazal
kutub ke Dher me.n na ho sahiifa zikr-e-yaar kaa
to qaabil-e-mutaali.a kitaab ek bhii nahii.n
Anwar Shuoor
Ghazal
masarrato.n kaa to sat.hii mutaala hai magar
Gam-e-hayaat kii gahraa.iyaa.n nahii.n ma.aluum
Shakeel Badayuni
Ghazal
mai.n pahlii baar huu.n zer-e-mutaala 'daanish'
abhii kahii.n pe nishaa.n tak nahii.n lagaa mujh ko
Danish Naqwi
Ghazal
ye shaa'irii ye aap kaa zauq-e-mutaala
fursat kaa mashGala hai faraaGat kii baat hai
Talib Dehlavi
Ghazal
hu.aa ba-madrasa-e-ishq jab se taalib-e-ilm
bahut hai apne mutaala ko ek dam kii kitaab
Qasim Ali Khan Afridi
Ghazal
bhulaa diyaa bhii agar jaa.e sarsarii kiyaa jaa.e
mutaale.a mirii vahshat kaa laazmii kiyaa jaa.e
Hammad Niyazi
Ghazal
mutaala kii numaa.ish hii jin kaa maqsad thaa
milaa na kuchh bhii unhe.n umr bhar kitaabo.n me.n
Krishn Gopal Maghmum
Ghazal
tirii KHabar ke liye dekhte hai.n sab aKHbaar
mutaale.a me.n kisii ke ko.ii kitaab nahii.n
Nasim Maysori
Ghazal
ko.ii kitaab uThaa.uu.n to KHuu.n Tapaktaa hai
ye kaun kar gayaa zaKHmii mutaala meraa
Badr-e-Alam Khan Azmi
Ghazal
in kaa mutaale’a hai miyaa.n shart-e-diin-e-ishq
ye ho.nTo.n ke nishaan kalaam-e-majiid hai.n
Vikram
Ghazal
mutaale.a ho maqaale kaa hai ye haq 'jaaved'
mile na vaqt to lubb-e-lubaab pa.Dh Daale.n
Javed Jamil
Ghazal
mutaala kii jo vaadii se ho ke bahtaa hai
vo hai mirii nigah-e-intiKHaab kaa dariyaa
Nadim Balkhi
Ghazal
mutaala kii numaa.ish hii jin kaa maqsad thaa
milaa na kuchh bhii unhe.n umr-bhar kitaabo.n me.n