SEARCH RESULTS
Showing search results for "مفاد"
Ghazal MATCHES FOR "مفاد"
Ghazal
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ki us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
dilchasp vaaqi.a hai ki kal ik aziiz dost
apne mafaad par mujhe qurbaan kar gayaa
Khalid Sharif
Ghazal
piiraan-e-jubba-o-qabaa saaraa fasaad ek hai
sab kaa KHudaa alag sahii sab kaa mafaad ek hai
Atif tauqeer
Ghazal
apnii apnii maslahat hai apnaa apnaa hai mafaad
varna is duniyaa me.n kab ko.ii kisii ke saath hai
Raees Rampuri
Ghazal
resham se narm lahje ke piichhe mafaad thaa
is taajirii ko ham ne sharaafat samajh liyaa
athar shakeel
Ghazal
hai ab to saare maraasim kaa inhisaar us par
kisii kii zaat se ham ko mafaad kitnaa hai
Murtaza Barlas
Ghazal
shaane se shaana jo.D milaa kar chalo qadam
'haidar' suno isii me.n hamaaraa mafaad hai
Haidar raza Koralvi
Ghazal
apne mafaad ke liye maidaan-e-ja.ng me.n
jiitaa gayaa kabhii kabhii haaraa gayaa mujhe
Nabeel Ahmad Nabeel
Ghazal
dushman se ittihaad ke chakkar me.n pa.D gayaa
har dost ab mafaad ke chakkar me.n pa.D gayaa
Qamar Aasi
Ghazal
mai-KHaana-e-mafaad ke mai-kash hai.n hosh-mand
mauqa.a se le le jaam tavaazun ke saath jhuum
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
itnaa safed KHuun hai logo.n kaa ab yahaa.n
rishta bhii rakhte hai.n kisii zaatii mafaad par
Syed Konain Haider Kazmi
Ghazal
hai rasm-o-raah bas apne mafaad kii had tak
yahaa.n kahaa.n hai kisii ko kisii se dilchaspii
Syed Ziyauddin Naeem
Ghazal
rishte hu.e mafaad parastii me.n mubtalaa
ghar ho gayaa hai kuucha-e-baazaar kii tarah
Iqbal Khalish
Ghazal
na us kaa batin-o-zaahir badalne vaalaa hai
mafaad dekh ke mehvar badalne vaalaa hai
Safdar Hamadani
Ghazal
detaa hai jidhar un ko mafaad apnaa dikhaa.ii
arbaab-e-havas shauq se ba.Dhte hai.n udhar tez
Aasi Faiqi
Ghazal
diivaana-e-mafaad hai begaana-e-KHuluus
vo ahl-e-aql-o-hosh sahii ahl-e-dil nahii.n