SEARCH RESULTS
Showing search results for "مناسبت"
Ghazal MATCHES FOR "مناسبت"
Ghazal
mujhe chāk-e-jeb-o-dāman se nahīñ munāsibat kuchh
ye junūñ hī ko mubārak rah-o-rasm-e-āmiyāna
Jigar Moradabadi
Ghazal
sumbul se vaasta na chaman se munaasibat
is zulf-e-mushk-baar kaa haal ai sabaa na puuchh
Josh Malihabadi
Ghazal
hai mere lafzo.n ko mujh se munaasibat kitnii
mai.n kaisaa naGma huu.n pahchaan gungunaa ke mujhe
Pawan Kumar
Ghazal
faKHr-e-munaasibat me.n tiraa naam le liyaa
ham KHud hii pardaa-daarii-e-ulfat na kar sake
Habeeb Ahmad Siddiqui
Ghazal
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
sach hai ki titliyo.n se use hai munaasibat
kam kam hii barg-e-dil pe magar baiThtaa to hai
Mazhar Imam
Ghazal
ye kaa.enaat bhii qad kii munaasibat se thii
ki ik parind ko pataa bhii shaamiyaana hu.aa
Naseem Abbasi
Ghazal
mai.n ik kiran huu.n ujaalaa hai tamkanat merii
tamaam ra.ngo.n se bhii hai munaasibat merii
Mutrib Nizami
Ghazal
hai un ke ahd-e-vafaa se munaasibat dil ko
use qayaam nahii.n hai ise qaraar nahii.n
Tilok Chand Mahroom
Ghazal
mujh se kyaa zavaal kii munaasibat ki dosto
din Dhale to aur bhii Gam miraa nikhar gayaa
Dilkash Sagari
Ghazal
tiin sau saal se hai.n hind ke mai-KHaane band
ab munaasib hai tiraa faiz ho aam ai saaqii
Allama Iqbal
Ghazal
uruus-e-laala munaasib nahii.n hai mujh se hijaab
ki mai.n nasiim-e-sahar ke sivaa kuchh aur nahii.n
Allama Iqbal
Ghazal
ek uj.De hu.e viiraan kha.nDar me.n 'aazar'
naa-munaasib hai magar jaane ko jii chaahtaa hai
Kafeel Aazar Amrohvi
Ghazal
bech aa.e sar-e-qarya-e-zar jauhar-e-pindaar
jo daam mile aise munaasib bhii nahii.n the
Iftikhar Arif
Ghazal
kiyaa hai mai.n ne KHud apnaa muhaasba aksar
tamiiz mujh me.n isii tajrabe se aa.ii hai
Jahangeer nayab
Ghazal
sar paa-e-KHum pe chaahiye ha.ngaam-e-be-KHudii
ruu suu-e-qibla vaqt-e-munaajaat chaahiye
Mirza Ghalib
Ghazal
maahaul munaasib ho to uupar nahii.n jaate
ham taaza ghuTan chho.D ke chhat par nahii.n jaate
Danish Naqwi
Ghazal
bazm-e-maatam to nahii.n bazm-e-suKHan hai 'haalii'
yaa.n munaasib nahii.n ro ro ke rulaanaa hargiz