SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناصیہ_فرسائی"
Ghazal MATCHES FOR "ناصیہ_فرسائی"
Ghazal
sar miraa kaaT ke dahliiz par apnii rakh do
shauq baaqii hai abhii naasiya-farsaa.ii kaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
phir usii kaafir be-mehr ke dar par 'faanii'
le chalaa shauq mujhe naasiya-farsaa.ii kaa
Fani Badayuni
Ghazal
'ain-mumkin hai ki ho jaa.e yahii sajda qubuul
apnii dahliiz pe tuu naasiya-farsaa.ii kar
Shaukat Wasti
Ghazal
ain mumkin hai ki ho jaa.e yahii sajda qubuul
apnii dahliiz pe ab naasiya-farsaa.ii kar
Shaukat Wasti
Ghazal
phir kashish ne dar-e-mahbuub kii khii.nchaa dil ko
phir hu.aa zauq hame.n naasiya-farsaa.ii kaa
Syed Masood Hasan Masood
Ghazal
ho jahaa.n murG-e-taKHayyul kii na parvaaz-e-rasaa
us bulandii pe mirii naasiya-farsaa.ii hai
Saqib Kanpuri
Ghazal
kyaa vo bhii zamaana thaa me.araaj-e-mohabbat kaa
din-raat dar-e-jaanaa.n par naasiya-farsaa.ii
Mahir Bilgrami
Ghazal
dar-ba-dar kyo.n naasiya-farsaa.ii kii zahmat kare.n
mustaqil jab ek ghar hai sar jhukaane ke liye
Najma Azeez
Ghazal
mujh ko le jaa ke dar-e-yaar pe qaasid ne kahaa
KHaama-farsaa.ii na kar naasiya-farsaa.ii kar
Hafeez Jalandhari
Ghazal
juz dil-e-paak na paayaa haram-e-KHaas kahii.n
dair-o-ka.aba me.n abas naasiya-farsaa.ii hai
Ismail Merathi
Ghazal
aastaa.n jazb-e-jabii.n hai magar ai fitrat-e-ishq
mai.n huu.n aur hausla-e-naasiya-farsaa.ii hai
Mani Jayasi
Ghazal
tum naasiya-farsaa.ii ko dar Dhuu.nDne jaa.o
ham naqsh-e-kaf-e-paa-e-anaa chuum rahe hai.n
Safar Naqvi
Ghazal
ik tuu hii nahii.n naasiya-farsaa mire aage
har shaKHs hai mahruum-e-tamannaa mire aage
Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ghazal
sajde kar ai nigaah ki mahruum ho ga.e
is aastaa.n pe naasiya-farsaa.iyo.n se ham