SEARCH RESULTS
Showing search results for "پتنگ"
Ghazal MATCHES FOR "پتنگ"
Ghazal
sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa.n me.n
pala.ng zaaviye us kii kamar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
majlis me.n raat ek tire partave baGair
kyaa sham.a kyaa pata.ng har ik be-huzuur thaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
garm-rau raah-e-fanaa kaa nahii.n ho saktaa pata.ng
us se to sham.a-namat sar bhii kaTaayaa na gayaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
Munawwar Rana
Ghazal
ta.ng aa chuke 'anant' ab le le patang anaa kii
mai.n Dhiil de rahaa huu.n ye aur aka.D rahii hai
Anant Gupta
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
phir puuchhnaa ki kaise bhaTaktii hai zindagii
pahle kisii pata.ng kii maanind kaT ke dekh
Nazeer Baaqri
Ghazal
koTho.n pe mu.nh-a.ndhere sitaare utar pa.De
ban ke pata.ng mai.n bhii havaa me.n u.Daa kiyaa
Mohammad Alvi
Ghazal
shab sham.a par pata.ng ke aane ko ishq hai
us dil-jale ke taab ke laane ko ishq hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
Muneer Niyazi
Ghazal
vo patang thii kaTii aur chalii bhii ga.ii
haath dhaagaa bachaa bas u.Daane ke baad
A.R Sahil 'Aleeg'
Ghazal
Meer Taqi Meer
Ghazal
Jamal Ehsani
Ghazal
rahaa thaa sham.a se majlis me.n dosh kitnaa farq
ki jal bujhe the ye ham par pata.ng thaa aage
Meer Taqi Meer
Ghazal
kyaa aasmaa.n uThaate mohabbat me.n jab ki dil
taar-e-nigah me.n uljhii hu.ii ik pata.ng thaa
Amir Hamza Saqib
Ghazal
kuucha-ba-kuucha phirte hai.n ab is tarah 'bashar'
bhaTke hai jaise haath se TuuTii hu.ii patang
Bashar Nawaz
Ghazal
bilaa-javaaz nahii.n hai falak se ja.ng mirii
aTak ga.ii hai sitaare me.n ik pata.ng mirii
Daniyal Tareer
Ghazal
KHat aap bheje.nge mujh ko patang par likh kar
ye Dore jaate hu.e hai.n u.Daa.iye na mujhe