SEARCH RESULTS
Showing search results for "پرکھوں"
Ghazal MATCHES FOR "پرکھوں"
Ghazal
jin zamiino.n ke qabaale hai.n mire purkho.n ke naam
un zamiino.n par mire jiine ke laale pa.D ga.e
Rahat Indori
Ghazal
Jahanzeb Sahir
Ghazal
mere purkho.n kii viraasat kaa bharam rahne de
tuu havelii ko khulaa dekh ke andar mat jaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
merii maa.n to mirii jannat ko liye baiThii hai
aisaa kar lo mire purkho.n kii du.aa tum rakh lo
Aisha Ayub
Ghazal
bas ek rabt nishaanii thaa apne purkho.n kii
ise bhii aaj mire bhaa.iyo.n ne to.D diyaa
Fazil Jamili
Ghazal
mai.n auro.n ko kyaa parkhuu.n aa.iina-e-'aalam me.n
muhtaaj-e-shanaasaa.ii jab apnaa hii chehraa hai
Wahid Premi
Ghazal
dukh banaate hai.n banaa kar mire paas aate hai.n
apne purkho.n kii rivaayaat sa.nbhaale hu.e log
Jaani Lakhnavi
Ghazal
pa.Dhtaa huu.n bahut shauq se purkho.n ke fasaane
muflis the magar gaa.nv kii 'izzat ke amii.n the
Mohammad Mustahsan Jami
Ghazal
jo thii ilaaqe me.n sab se hasiin bech aa.e
ham apne purkho.n kii saarii zamiin bech aa.e
Chand Akbarabadi
Ghazal
jahaa.n purkho.n ke sajdo.n ke nishaa.n hai.n
vo galiyaa.n KHuun se kyuu.n dho rahe ho
Parveen Kumar Ashk
Ghazal
ham ne apne purkho.n ke ehtiraam kii KHaatir
farz bhii nibhaayaa hai, qarz bhii utaare hai.n
Khwaja Sajid
Ghazal
mai.n bhalaa kaise tire saath baGaavat kartaa
mujh pe saadaat ke purkho.n ne imaamat kii hai
Rana Usman Ahaamir
Ghazal
Adeel Zaidi
Ghazal
ab bhii maa.n baap ke purkho.n ko salaamii dene
shahr ke log mazaafaat me.n aa jaate hai.n
Rana Usman Ahaamir
Ghazal
sirf purkho.n ke havaalo.n se nahii.n chaltaa hai
kaam maa.nge ke ujaalo.n se nahii.n chaltaa hai