SEARCH RESULTS
Showing search results for "پل_صراط"
Ghazal MATCHES FOR "پل_صراط"
Ghazal
pul-e-siraat na thaa dasht-e-nainavaa bhii na thaa
tumhaaraa hijr magar ham se kaT rahaa bhii na thaa
Syed Kashif Raza
Ghazal
gunaah itne ba.Dhaa.e ki pul hii to.D diyaa
pul-e-siraat se khele pul-e-siraat ke khel
Farhat Ehsas
Ghazal
mohabbato.n ke safar par nikal ke dekhuu.ngaa
ye pul-siraat agar hai to chal ke dekhuu.ngaa
Rahat Indori
Ghazal
haatho.n me.n haath le ke yahaa.n se guzar chale.n
qadmo.n me.n pul-siraat sahii raastaa to hai
Jameel Malik
Ghazal
mujhe bulaayaa gayaa pul-siraat se guzro
farishte ha.nsne lage siiTiyaa.n bajaane lage
Jashn Abbas
Ghazal
jis ko ye pul-siraat kahte hai.n
baarhaa mai.n vahaa.n se guzraa huu.n
Dr. Nadeem Akbar Nadeem
Ghazal
mahshar me.n chalte chalte karuu.ngaa adaa namaaz
pa.Dh lu.ngaa pul-siraat pe 'maa.il' qazaa namaaz
Ahmad Husain Mail
Ghazal
tire baGair masaafat me.n pul-siraat hu.aa
vo rahguzaar jo do gaam bhii nahii.n hotaa
Waqar Sahar
Ghazal
pul siraat se har roz hai safar meraa
ye dekhnaa hai kahaa.n tak vo aazmaa.egaa
Sahiba Sheheryar
Ghazal
abhii talak tire raste me.n pul-siraat pe hai
guzarne vaalaa zaruurii nahii.n guzar jaa.e
Naseem Abbasi
Ghazal
tamaam umr chale ishq kii Dagar 'muKHtaar'
magar safar me.n abhii pul-siraat baaqii hai
Mukhtar Kukravi
Ghazal
'vaqaar-hilm' alii vaalo.n se KHudaa kii qasam
pul-siraat ke raste bhii raah rakhte hai.n
Waqar Hilm Syed Naglavi
Ghazal
ye pul-siraat ko pal pal ubuur karnaa hai
hai.n dostii me.n bhii yaaro nazaakate.n kaisii
Azhar Nadvi
Ghazal
rahne do apnii pahlii mohabbat kaa tazkira
yaa'nii ki pul-siraat se baahar kaa kuchh kaho
Shazia Niyazi
Ghazal
baat-chiit yaaro.n se pul-siraat par chalnaa
lafz miltaa rahtaa hai bazm ho dukaa.n jaise