SEARCH RESULTS
Showing search results for "گمراہ"
Ghazal MATCHES FOR "گمراہ"
Ghazal
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qariib aa ga.ii hai
Khumar Barabankavi
Ghazal
raahbar meraa banaa gumraah karne ke liye
mujh ko siidhe raaste se dar-ba-dar us ne kiyaa
Muneer Niyazi
Ghazal
gumraah kiye ho.nge ka.ii phuul se jazbe
aise to ko.ii raah-numaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Ghazal
sub.h tak dil ke dariicho.n ko khulaa rahne do
dard gumraah farishte hai.n kahaa.n jaa.e.nge
Bashir Badr
Ghazal
gumraah-e-mohabbat huu.n puuchho na mirii manzil
har naqsh-e-qadam meraa manzil kaa pataa hogaa
Hafeez Banarasi
Ghazal
ham bichha.Dne se hu.e gumraah varna is se qabl
meraa daaman tar na thaa terii jabii.n aisii na thii
Parveen Shakir
Ghazal
jab aagahii mujhe gumraah kartii hai 'mohsin'
junuu.n bahaal bhii us kii taraf se hotaa hai
Mohsin Asrar
Ghazal
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
du.aa ye hai na ho.n gumraah ham-safar mere
'KHumaar' mai.n ne to apnaa safar tamaam kiyaa
Khumar Barabankavi
Ghazal
sun to saa.il nahii.n ham KHaak-nashiin-e-gumraah
ai sabaa tuu to zaraa der Thahartii bhii nahii.n
Shahab Jafri
Ghazal
kahte hai.n dekh kar mujhe 'akbar' butaan-e-hind
gumraah hai ye raah par aa.e KHudaa kare
Shah Akbar Danapuri
Ghazal
ye haashiye tire gumraah kar rahe the mujhe
kitaab-e-ziist so mai.n tere nas me.n lauT aayaa
Arshad Jamal Sarim
Ghazal
tark-e-ulfat pe bhii kar jaate hai.n aksar gumraah
mere KHvaabo.n ko tire gesu-e-pur-KHam chup-chaap