SEARCH RESULTS
Showing search results for "گور"
Ghazal MATCHES FOR "گور"
Ghazal
sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naaz us kii
so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
tark-e-aadat se mujhe niind nahii.n aane kii
kahii.n niichaa na ho ai gor sirhaanaa teraa
Dagh Dehlvi
Ghazal
gor tak aa.e to chhaatii pe qadam bhii rakh do
ko.ii be-dil idhar aa.e to pataa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
na gor-e-sikandar na hai qabr-e-daaraa
miTe naamiyo.n ke nishaa.n kaise kaise
Haidar Ali Aatish
Ghazal
kabhii mile.nge to ye qarz bhii utaare.nge
tumhaare chehre ko pairo.n talak nihaare.nge
Vikram Gaur Vairagi
Ghazal
shahiid jism salaamat uThaa.e jaate hai.n
jabhii to gor-kano.n se lahad nahii.n maa.ngii
Ahmad Faraz
Ghazal
talvaar kaa bhii maaraa KHudaa rakkhe hai zaalim
ye to ho ko.ii gor-e-Gariibaa.n me.n dar aave
Meer Taqi Meer
Ghazal
bazm-e-shaahanshaah me.n ash.aar kaa daftar khulaa
rakhiyo yaa rab ye dar-e-ganjiina-e-gauhar khulaa
Mirza Ghalib
Ghazal
Bedam Shah Warsi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
zinda dar-gor ham aise jo hai.n marne vaale
jiite-jii un ke gale me.n kafanii hotii hai
Hafeez Jaunpuri
Ghazal
bosa na de vo mujh ko to mai.n is ko dil na duu.n
is gore haath se jo ishaare hu.e to kyaa
Ahmad Husain Mail
Ghazal
ai sabaa auro.n kii turbat pe gul-afshaanii chand
jaanib-e-gor-e-Gariibaa.n bhii kabhii aayaa kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
laasha miraa tasallii na zer-e-zamii.n hu.aa
jab tak na aan kar vo sar-e-gor ho gayaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
Bedam Shah Warsi
Ghazal
phirte hai.n vahaa.n aap bhaTaktii hai yahaa.n ruuh
ab gor me.n bhii ham ko Thikaanaa nahii.n miltaa
Mirza Raza Barq
Ghazal
vaa.e vaa.n bhii shor-e-mahshar ne na dam lene diyaa
le gayaa thaa gor me.n zauq-e-tan-aasaanii mujhe
Mirza Ghalib
Ghazal
jiite to 'miir' un ne mujhe daaG hii rakkhaa
phir gor par charaaG jalaayaa to kyaa hu.aa