SEARCH RESULTS
Showing search results for "یک"
Ghazal MATCHES FOR "یک"
Ghazal
yak nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak
Mirza Ghalib
Ghazal
kabhii ye haal ki dono.n me.n yak-dilii thii bahut
kabhii ye marhala jaise ki aashnaa.ii na thii
Naseer Turabi
Ghazal
tuu saamne hai to phir kyuu.n yaqii.n nahii.n aataa
ye baar baar jo aa.nkho.n ko mal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
javaa.n hone lage jab vo to ham se kar liyaa parda
hayaa yak-laKHt aa.ii aur shabaab aahista aahista
Ameer Minai
Ghazal
yak-laKHt giraa hai to ja.De.n tak nikal aa.ii.n
jis pe.D ko aa.ndhii me.n bhii hilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Ghazal
mai.n chaahtaa huu.n tuu yak-dam hii chho.D jaa.e mujhe
ye har gha.Dii tire jaane kaa ehtimaal na ho
Jawad Sheikh
Ghazal
fardaa o dii kaa tafraqa yak baar miT gayaa
kal tum ga.e ki ham pe qayaamat guzar ga.ii
Mirza Ghalib
Ghazal
hai kahaa.n tamannaa kaa duusraa qadam yaa rab
ham ne dasht-e-imkaa.n ko ek naqsh-e-paa paayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
gunjaa.ish-e-adaavat-e-aGyaar yak taraf
yaa.n dil me.n zo.af se havas-e-yaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
kabhii yak-ba-yak tavajjoh kabhii daf.atan taGaaful
mujhe aazmaa rahaa hai ko.ii ruKH badal badal kar
Shakeel Badayuni
Ghazal
aatish buland dil kii na thii varna ai kaliim
yak sho.ala barq-e-KHiraman-e-sad-koh-e-tuur thaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
jin jin ko thaa ye ishq kaa aazaar mar ga.e
aksar hamaare saath ke biimaar mar ga.e
Meer Taqi Meer
Ghazal
ta.ngi-e-dil kaa gila kyaa ye vo kaafir-dil hai
ki agar ta.ng na hotaa to pareshaa.n hotaa