SEARCH RESULTS
Showing search results for "इख़्तिलाफ़"
Ghazal MATCHES FOR "इख़्तिलाफ़"
Ghazal
ho chalaa thaa jab mujh ko iKHtilaaf apne se
tuu ne kis gha.Dii zaalim merii ham-navaa.ii kii
Ahmad Faraz
Ghazal
har chand iKHtilaaf ke pahluu hazaar the
vaa kar sakaa magar lab-e-goyaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Ghazal
KHud apne dil se yahii iKHtilaaf hai meraa
ki mai.n Gamo.n ko Gubaare nahii.n samajhtaa huu.n
Zafar Iqbal
Ghazal
agarche tujh se bahut iKHtilaaf bhii na hu.aa
magar ye dil tirii jaanib se saaf bhii na hu.aa
Parveen Shakir
Ghazal
piir-e-muGaa.n se ham ko ko.ii bair to nahii.n
tho.Daa saa iKHtilaaf hai mard-e-KHudaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Ghazal
rahe KHayaal ki aa.e na ehtiraam me.n farq
agar kisii se tiraa iKHtilaaf ho jaa.e
Jahangeer nayab
Ghazal
taziin-e-kaa.enaat kaa baa.is vahii bane
duniyaa se iKHtilaaf kii jur.at jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Ghazal
us ko thaa saKHt iKHtilaaf ziist ke matn se so vo
bar-sar-e-haashiya rahaa aur kamaal kar gayaa
Pirzada Qasim
Ghazal
Syed Arif
Ghazal
use ye haq hai ki vo mujh se iKHtilaaf kare
magar vajuud kaa mere bhii e'tiraaf kare
Ejaz Rahmani
Ghazal
tamaam umr miraa mujh se iKHtilaaf rahaa
gila na kar jo kabhii teraa ham-navaa na hu.aa
Lutf-ur-rahman
Ghazal
jo vo nahii.n thaa to mai.n muttafiq thaa logo.n se
vo mere saamne aayaa to iKHtilaaf kiyaa
Zeeshan Sahil
Ghazal
ham iKHtilaaf ko aapas me.n tai na kar paa.e
kisii ko biich bulaane se baat big.Dii hai
Iftikhar Haidar
Ghazal
abhii to baat karo ham se dosto.n kii tarah
phir iKHtilaaf ke pahluu nikaalte rahnaa
Qateel Shifai
Ghazal
hai yuu.n to mere raqiibo.n me.n iKHtilaaf bahut
mire KHilaaf magar ittihaad kitnaa hai
Murtaza Barlas
Ghazal
ulajh rahe hai.n bahut log merii shohrat se
kisii ko yuu.n to ko.ii mujh se iKHtilaaf na thaa
Bekal Utsahi
Ghazal
usii se aaj miraa iKHtilaaf rahtaa hai
mai.n jis kii tarz pe Dhaalaa gayaa thaa bachpan me.n
Sajid Raheem
Ghazal
is daur-e-jahl me.n ye siyaasat fasaad hai
har suu hai iKHtilaaf kahaa.n ittihaad hai