SEARCH RESULTS
Showing search results for "इर्द-गर्द"
Ghazal MATCHES FOR "इर्द-गर्द"
Ghazal
ishq baat kartaa hai dil tavaaf kartaa hai
ird-gard phirne se aashiqii nahii.n hotii
Manzar Naqvi
Ghazal
ye ird-gard ke manzar mire shanaasaa hai.n
guzar hu.aa hai isii rahguzar se aage bhii
Azad Husain Azad
Ghazal
ho raqs zindagii ke jahannam ke ird-gard
parvaana ban ke kis liye jal jaanaa chaahiye
Ejaz Siddiqi
Ghazal
'saajid' nigaah Daaliye ab ird-gard bhii
zikr-e-rumuuz ra.ng-e-asaatiir ho chukaa
Ghulam Husain Sajid
Ghazal
bichhaa rahaa huu.n ka.ii jaal ird-gard tire
tujhe jaka.Dne kii KHvaahish me.n kab se baiThaa ho.n
Abdur Rahim Nashtar
Ghazal
ma.nDlaa rahaa hai aaj jo saahil ke ird-gard
tuufaan ko to tum ne ishaara nahii.n kiyaa
Ram Awtar Gupta Muztar
Ghazal
mai.n mahv-e-guftuguu thaa tumhaarii nazar ke saath
aur mere ird-gard thaa biinaa.iyo.n kaa raqs
Khwaja tariq Usmani
Ghazal
jo aarzuu thii ki ho.n ird-gard gul-buuTe
to tum ne naag-phanii ke ugaa.e jangal kyuu.n
Shifa Kajgavnwi
Ghazal
ird-gird sab rang saraasar aur hii kuchh the
aa.nkh khulii to saare manzar aur hii kuchh the
Rafique Ahmad Naqsh
Ghazal
ko.ii KHabar thii aamad-o-imkaan-e-sub.h kii
aur us ke ird-gird hisaar intizaar thaa
Zafar Iqbal
Ghazal
suuraj ke ird-gird bhaTakne se faa.eda
dariyaa hu.aa hai gum to samundar talaash kar
Nida Fazli
Ghazal
khii.nchaa nahii.n hisaar ko.ii apne ird-gird
'ishrat' mai.n apnii zaat me.n tanhaa zaruur huu.n