SEARCH RESULTS
Showing search results for "उंडेल"
Ghazal MATCHES FOR "उंडेल"
Ghazal
zabaana-zan thaa jigar-soz tishnagii kaa azaab
so jauf-e-siina me.n dozaKH u.nDel lii mai.n ne
Jaun Eliya
Ghazal
jo zehn hii me.n siyaahii u.nDel de suuraj
to phir tamiiz kise sub.h kyaa hai shab kyaa hai
Siddique Mujibi
Ghazal
bazm-e-suKHan me.n puurii musaddas u.nDel kar
had se ziyaada 'KHaalid'-e-irfaan khul gayaa
Khalid Irfan
Ghazal
saaGar me.n nuur-e-diida-e-anjum u.nDel kar
phir tiirgii-e-Gam me.n charaaGaa.n kare.nge ham
Majeed Lahori
Ghazal
sitaare par sitaara ok me.n bahtaa chalaa aa.e
kisii shab kahkashaa.n u.nDel kar mujh ko pilaa.o naa
Aftab Iqbal Shamim
Ghazal
me.n thak chukaa huu.n faqat raa.egaaniyaa.n likhte
u.nDel duu.n na kahii.n ab davaat kaaGaz par
Sajjad Baluch
Ghazal
jalne lage jo shahr to saaraa u.nDel duu.n
jaa kar kisii kinaare se phir bhar luu.n aur gaa.uu.n
Afzaal Naveed
Ghazal
u.nDel lii hai jahannum kii aag siine me.n
rago.n me.n bhar liyaa dozaKH kaa sab dhu.aa.n ham ne
Om Krishn Rahat
Ghazal
Muneer Jafri
Ghazal
phir saatgii.n u.nDel ke saaqii ne rakh diye
uThtii hai har nigaah hariisaana aaj-kal
Syed Mazhar Gilani
Ghazal
uThaa ke jaam-o-subuu KHud u.nDel lete hai.n
hamaarii bazm me.n saaqii kaa intizaar nahii.n
Amjad Ali Ghaznawi
Ghazal
pii luu.n zaraa sii aag taKHayyul u.nDel kar
kuchh dhuup chhaan.naa hai Gazal ke naqaab se
Farooq Anjum
Ghazal
saaqii u.nDel jaam subuuhii subuu kii KHair
mushtaaq kab se hai.n lab-e-shab aaftaab ke
Naseem Dehlvi
Ghazal
KHudaa ke vaaste KHissat se baaz aa saaqii
u.nDel de vo jo KHum me.n sharaab baaqii hai
Fazal Husain Sabir
Ghazal
Muneer Jafri
Ghazal
suuraj pe jaise shab ne siyaahii u.nDel dii
'ejaaz' yuu.n hayaat ke auraaq ho ga.e