SEARCH RESULTS
Showing search results for "चिनार"
Ghazal MATCHES FOR "चिनार"
Ghazal
vo aag hai ki mirii por por jaltii hai
mire badan ko milaa hai chinaar kaa mausam
Parveen Shakir
Ghazal
aise sulag uThaa tirii yaado.n se dil miraa
jaise dhadhak uThe.n kahii.n jangal chiinaar ke
Ajay Sahaab
Ghazal
bujhne kii dil kii aag nahii.n zer-e-KHaak bhii
hogaa daraKHt gor pe merii chinaar kaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
jal gayaa aag me.n aap apne mai.n maanind-e-chiinaar
piiste rah ga.e daa.nt arra-o-sohaa.n kyaa kyaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
yahii chinaar yahii jhiil kaa kinaaraa thaa
yahii.n kisii ne mire saath din guzaaraa thaa
Maqbool Aamir
Ghazal
tirii savaarii me.n kab panj shaaKHe hai.n ai sarv
jilau me.n sehn-e-gulistaa.n se hai chinaar aayaa
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
badan hai us kaa ki jaise chinaar kaa mausam
vo apnii aag me.n har raat jaltaa rahtaa hai
Abdullah Nadeem
Ghazal
is kii chhuvan se jal uThaa mere badan kaa rom rom
mujh ko to dast-e-yaar ne jaise chinaar diyaa
Aatif Waheed Yasir
Ghazal
babuul sabz hai baa.ndhe hisaar-e-naaz 'ajmal'
mujhe bhii apnii zamii.n me.n chinaar bone de
Kabir Ajmal
Ghazal
Kamal Ahmad Siddiqi
Ghazal
surKH poshaak pahan kar vo sahii qad jo gayaa
jal uThe sarv-e-chaman misl-e-chinaar aap se aap
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
tane pe jis ke taraashe the ham ne naam kabhii
'KHayaal' kiije yahii vo chinaar hai shaayad
Priyadarshi Thakur Khayal
Ghazal
soz-e-dil meraa mujh ko de hai jalaa
aah misl-e-chinaar kyaa kiije
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Ghazal
gulo.n me.n rang bharegaa mujhe ye fikr nahii.n
chiinaar phir se jalegaa mujhe ye fikr nahii.n
Shafaq Sopori
Ghazal
paraa.ii aag me.n andar se jal rahaa huu.n mai.n
mire chinaar-shajar tum bachaa sake na mujhe