SEARCH RESULTS
Showing search results for "जैसे-तैसे"
Ghazal MATCHES FOR "जैसे-तैसे"
Ghazal
mai.n jaise taise kar ke aa gayaa ik aadh se aage
nikal saktaa nahii.n lekin tirii har yaad se aage
Himanshi Babra
Ghazal
uu.nche mahlo.n me.n bhii mere qaabil dost
jaise-taise roz guzaaraa hotaa hai
Tahir Saood Kiratpuri
Ghazal
din tire hijr me.n kaT jaataa hai jaise-taise
mujh se rahtii hai KHafaa merii nazar shaam ke baad
Krishn Bihari Noor
Ghazal
matlab kii is duniyaa me.n bhii jiite hai.n
jaise taise apnii jaan sa.nbhaale ham
Moin Ahmed Aazad
Ghazal
KHair chehra to banaa luu.ngaa mai.n jaise-taise
kis tarah utre.ngii kaaGaz pe KHayaalii aa.nkhe.n
Yasir Rampuri
Ghazal
bin tere din jaise-taise kaaT liyaa par
kaise guzrii raat na puuchho dukh hotaa hai
Sagar Sarfaraz
Ghazal
hujuum-e-shahr me.n din jaise-taise kaaT diyaa
kahaa.n hai raat bitaanii nahii.n samajh paa.e
Sunil Kumar Jashn
Ghazal
jaise-taise nazar-andaaz kiyaa hai mai.n ne
varna ye vaaqi'a hairaan bhii kar saktaa thaa
Kuldeep Kumar
Ghazal
jaise-taise mai.n binaa ro.e chalii jaatii magar
kis liye dekh liyaa mu.D ke dubaara tuu ne
Himanshi Babra
Ghazal
jaise-taise mujhe ronaa kabhii aayaa hii nahii.n
jab bhii royaa mai.n bahut soch samajh kar royaa
Haleem Sabir
Ghazal
din to yaaro.n me.n guzar hii gayaa jaise taise
dard kuchh aur ba.Dhaa hijr me.n jab raat hu.ii