SEARCH RESULTS
Showing search results for "पाबंद"
Ghazal MATCHES FOR "पाबंद"
Ghazal
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
kyaa ye mausam tire qaanuun ke paaband nahii.n
mausam-e-gul me.n ye dastuur-e-KHizaa.n kis kaa hai
Meraj Faizabadi
Ghazal
aaKHir-e-kaar hu.e terii razaa ke paaband
ham ki har baat pe israar kiyaa karte the
Shahzad Ahmad
Ghazal
Malikzaada Manzoor Ahmad
Ghazal
KHuun hotaa hai sahar tak mire armaano.n kaa
shaam-e-vaada jo vo paaband-e-hinaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Ghazal
vaqt kii paaband hai.n aatii jaatii raunaqe.n
vaqt hai phuulo.n kii sej vaqt hai kaa.nTo.n kaa taaj
Sahir Ludhianvi
Ghazal
fikr-o-iz.haar me.n ham hukm ke paaband nahii.n
shaa.irii hasb-e-hidaayaat nahii.n hogii ham se
Iqbal Azeem
Ghazal
ahl-e-razaa me.n shaan-e-baGaavat bhii ho zaraa
itnii bhii zindagii na ho paaband-e-rasmiyaat
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
jalve the halqa-e-sar daam-e-nazar se baahar
mai.n ne har jalve ko paaband-e-nazar jaanaa thaa
Asrarul Haq Majaz
Ghazal
ham to paaband-e-vafaa pahle bhii the aaj bhii hai.n
aap hii faasle le aa.e to lo jaate hai.n
Ameeta Parsuram Meeta
Ghazal
sad-ra.ng-e-gul katarnaa dar-parda qatl karnaa
teG-e-adaa nahii.n hai paaband-e-be-niyaamii
Mirza Ghalib
Ghazal
ai sail-e-ravaan-e-abadii zindagii naamii
mai.n kaun saa paaband huu.n harjaa.ii idhar aa
Muzaffar Hanfi
Ghazal
rindaan-e-mai-aashaam nahii.n jaam ke paaband
ham ok se piite hai.n jo saaGar nahii.n miltaa
Rind Lakhnavi
Ghazal
banaa letaa hai mauj-e-KHuun-e-dil se ik chaman apnaa
vo paaband-e-qafas jo fitratan aazaad hotaa hai
Asghar Gondvi
Ghazal
paaband-e-ra.ng-o-naqsh huu.n tasviir kii tarah
mai.n be-hijaab apne hijaabo.n ke saath huu.n