SEARCH RESULTS
Showing search results for "बे-सब्र"
Ghazal MATCHES FOR "बे-सब्र"
Ghazal
udhar vo be-muravvat bevafaa be-rahm qaatil hai
idhar be-sabr-o-be-taskiin-o-be-taaqat miraa dil hai
Waliullah Muhib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
dekhiye maut aa.e 'faanii' yaa ko.ii fitna uThe
mere qaabuu me.n dil-e-be-sabr-o-taab aane ko hai
Fani Badayuni
Ghazal
sub.h ke taare mirii pahlii du.aa tere liye
tuu dil-e-be-sabr ko taskii.n zaraa sii de gayaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
ro.e.n gale se lag ke baham KHuub ko.ii dam
kyaa dekhtaa hai ai dil-e-be-sabr-o-taab aa
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
chaaraagar naaseh-e-mushfiq dil-e-be-sabr-o-qaraar
jo milaa ishq me.n Gam-KHvaar vo naadaa.n niklaa
Fani Badayuni
Ghazal
KHizaa.n kaa daur gayaa mausam-e-bahaar aayaa
magar na us dil-e-be-sabr ko qaraar aayaa
Shad Azimabadi
Ghazal
Shifa Kajgavnwi
Ghazal
Hasrat Azimabadi
Ghazal
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
phuulo.n se siikh ai dil-e-be-sabr sabr-o-zabt
dil me.n hazaar zaKHm ho.n lab par ha.nsii to hai
Muslim Maleganwi
Ghazal
tujh se har baar mil ke mai.n be-sabr
na maluu.n phir ye Thaan rakhtaa huu.n
Syed Mohammad Meer Asar
Ghazal
be-sabr ho ke ko.ii kahii.n mar gayaa to Thiik
varna yahaa.n pe kaun shakebaa.ii jaantaa
Nivesh Sahu
Ghazal
kisii ke sabr ne be-sabr kar diyaa sab ko
'firaaq' naza.a me.n karvaT ko.ii badaltaa thaa