SEARCH RESULTS
Showing search results for "बैठता"
Ghazal MATCHES FOR "बैठता"
Ghazal
jab rone baiThtaa huu.n tab kyaa kasar rahe hai
ruumaal do do din tak juu.n abr tar rahe hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
kartaa huu.n niind me.n hii safar saare shahr kaa
faariG to baiThtaa nahii.n sone ke baavajuud
Zafar Iqbal
Ghazal
jii hii haTe na meraa to us ko kyaa karuu.n mai.n
har-chand baiThtaa huu.n majlis me.n us se haT haT
Meer Taqi Meer
Ghazal
thakan bahut thii magar saaya-e-shajar me.n 'jamaal'
mai.n baiThtaa to miraa ham-safar chalaa jaataa
Jamal Ehsani
Ghazal
'shu.uur' sab se alag baiThtaa hai mahfil me.n
isii se aap samajh liijiye maqaam us kaa
Anwar Shuoor
Ghazal
aa baiThtaa thaa suufii har sub.h mai-kade me.n
shukr-e-KHudaa ki niklaa vaa.n se KHaraab ho kar
Meer Taqi Meer
Ghazal
adab se aarii darinda-sifaat logo.n me.n
mai.n baiThtaa hii nahii.n vaahiyaat logo.n me.n
Ejaaz tawakkal
Ghazal
bazm me.n vo baiThtaa hai jab bhii aage saamne
mai.n laraz uThtaa huu.n us kii har adaa ke saamne
Abdul Mannan Samadi
Ghazal
jo parii-ruu baiThtaa hai aa ke uTh saktaa nahii.n
ab to naqsh-e-boriyaa kaa KHuub mai.n aamil hu.aa
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
vo baiThtaa hai shahr ke hotel me.n aaj bhii
mere nasiib me.n ko.ii footpath bhii nahii.n
Saleem Betab
Ghazal
ho ke kabhii udaas yahaa.n baiThtaa to thaa
chal ke kisii daraKHt se puuchhe.n to us kii baat
Wahab Danish
Ghazal
aisaa lagtaa hai ki mahfil muskuraane lag ga.ii
aa ke jab vo baiThtaa hai muskuraa ke saamne