SEARCH RESULTS
Showing search results for "माहताब"
Ghazal MATCHES FOR "माहताब"
Ghazal
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
isii liye mai.n kisii shab na so sakaa 'mohsin'
vo maahtaab kabhii baam par bhii aataa hai
Mohsin Naqvi
Ghazal
kahaa hai mai.n ne ye kab maahtaab mil jaa.e
mujhe to bas mirii aa.nkho.n kaa KHvaab mil jaa.e
Jahangeer nayab
Ghazal
ye kaun aayaa shabistaa.n ke KHvaab pahne hu.e
sitaare o.Dhe hu.e maahtaab pahne hu.e
Saqi Faruqi
Ghazal
ek vo raat thii ki jab thaa mire ghar vo maahtaab
ek ye raat hai ki ab chaa.nd hai chaa.ndnii nahii.n
Ehsan Danish
Ghazal
phir sub.h tak hii chhat pe sitaare muqiim the
khi.Dkii me.n maahtaab ba.Dii der tak rahaa
Ashfaq Ahmad Saim
Ghazal
mil rahaa hai sub.h ke taare se jaataa maahtaab
raat ke taariik ziine se utar jaane ke ba.ad
Javed Shaheen
Ghazal
mujhe Garaz hai sitaare na maahtaab ke saath
chamak rahaa hai ye dil puurii aab-o-taab ke saath
Rehman Faris
Ghazal
sab chaa.ndnii se KHush hai.n kisii ko KHabar nahii.n
phaahaa hai maahtaab kaa garduu.n ke ghaav par
Ehsan Danish
Ghazal
tum us kaa husn kabhii us kii bazm me.n dekho
ki maahtaab sadaa shab ke pairahan me.n khulaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
vo maahtaab abhii baam par nahii.n aayaa
mirii du.aa.o.n me.n shaayad asar nahii.n aayaa
Azhar Iqbal
Ghazal
ai jaa.n! ko.ii tabassum-e-ra.ngii.n kii vaardaat
phiikaa hai maahtaab ki mausam KHaraab hai
Saghar Siddiqui
Ghazal
ga.nvaa baiThe tirii KHaatir ham apne mahr o maahtaab
bataa ab ai zamaane aur kyaa karnaa pa.Degaa
Iftikhar Arif
Ghazal
ye maahtaab nahii.n hai ki aaftaab nahii.n
sabhii hai husn magar ishq kaa javaab nahii.n