SEARCH RESULTS
Showing search results for "मुंतक़िल"
Ghazal MATCHES FOR "मुंतक़िल"
Ghazal
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
Dhuu.nDh uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Ghazal
mai.n duniyaa kii KHaatir huu.n dil hone vaalaa
miraa ahd hai mustaqil hone vaalaa
Shaheen Abbas
Ghazal
ko.ii KHushii na ko.ii ranj mustaqil hogaa
fanaa ke rang se har rang muttasil hogaa
Ameer Imam
Ghazal
muntaqil hotaa hai lekin vo kabhii martaa nahii.n
jo sadaa-e-kun se paidaa ho gayaa to ho gayaa
Faiz Alam Babar
Ghazal
tuu kabhii jo bhuule se be-naqaab ho jaa.e
muntaqil haqiiqat me.n apnaa KHvaab ho jaa.e
Afsar Azri
Ghazal
tumhaarii yaad kaa marham banaam-e-dil kar duu.n
tamaam hijr ke zaKHmo.n ko mundamil kar duu.n
Khalid Mubashshir
Ghazal
muntaqil kar de.n dil-o-zehn kahii.n aur apne
jaan le le.n na ye sadmaat chalo so jaa.e.n
Raqeeb Anjum
Ghazal
muntaqil apnii nadaamat na karo Gairo.n tak
tajraba ham bhii kahaa.n baar-e-digar chaahte hai.n
Rahi Fidai
Ghazal
bahut kaThin mas.alo.n kii tahliil bhii hai mumkin
agar mai.n ik mas.ale ke Tuk.De pachaas kar luu.n
Zeeshaan sajid
Ghazal
ko.ii din sabr ke phir mundamil ho jaa.egaa Gam
nishaa.n rah jaa.egaa aur mustaqil ho jaa.egaa Gam