SEARCH RESULTS
Showing search results for "राह-ए-रास्त"
Ghazal MATCHES FOR "राह-ए-रास्त"
Ghazal
ba-raah-e-raast nahii.n phir bhii raabta saa hai
vo jaise yaad-e-mazaafaat me.n chhupaa saa hai
Shahram Sarmadi
Ghazal
ba-raah-e-raast ko.ii farz adaa nahii.n hotaa
vahii sifaarishe.n sun.naa sifaarishe.n likhnaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
kitno.n ko raah-e-raast pe laayaa 'hasan' magar
darvesh is savaab se bhii mutma.in nahii.n
Ataul Hasan
Ghazal
mah.ngaa.ii raah-e-raast pe le aa.ii khii.nch kar
bachtii nahii.n raqam burii aadaat ke liye
Anwar Shuoor
Ghazal
to raah-e-raast apne karam se dikhaa mujhe
raste Galat hazaar hai.n duniyaa me.n ai KHudaa
athar shakeel
Ghazal
hazaar minnate.n kii.n vaaste KHudaa ke diye
ye raah-e-raast pe vo raahbar nahii.n aayaa
Bakhsh Layalpuri
Ghazal
tujh se miraa mu'aamla hotaa ba-raah-e-raast
ye 'ishq darmiyaan na hotaa to Thiik thaa
Amjad Shahzad
Ghazal
un kii tiira zulfo.n se tashbiihe.n de kar
shab ko raah-e-raast pe laayaa jaa saktaa hai
Sarfraz Zahid
Ghazal
ye hukm hai ki ko.ii raah-e-raast par na chale
havaa ke gho.De pe ko.ii savaar niklegaa
Kalidas Gupta Raza
Ghazal
Moazzam Ali Khan
Ghazal
muddat se chal rahaa huu.n magar tai na kar sakaa
'shaahid' ye raah-e-raast tamannaa bhii KHuub hai
Hafeez Shahid
Ghazal
the raah-e-raast pe jab tak pa.De the pastii me.n
bulandiyo.n pe pahu.nch kar biga.D ga.e hai.n log
Anwar Kamal Anwar
Ghazal
raah-e-talab me.n azm-e-tajassus javaa.n rahe
manzil jo be-nishaa.n hai mirii be-nishaa.n rahe
Naresh M. A
Ghazal
himmat-shikan hai.n raah-e-mohabbat ke marhale
har mo.D har qadam pe musiibat hai kyaa karuu.n
Kanval M. A
Ghazal
kyaa marhale hai.n raah-e-mohabbat ke marhale
dil par kahii.n banii hai mirii jaan par kahii.n