SEARCH RESULTS
Showing search results for "लगातार"
Ghazal MATCHES FOR "लगातार"
Ghazal
ek hii baar nazar pa.Dtii hai un par 'taabish'
aur phir vo hii lagaataar nazar aate hai.n
Zubair Ali Tabish
Ghazal
log kahte hai.n mai.n baarish kii tarah huu.n 'haafii'
aksar auqaat lagaataar nahii.n hotaa mai.n
Tahzeeb Hafi
Ghazal
mai.n sochtaa huu.n ki dam le.n to mai.n unhe.n Tokuu.n
magar ye log lagaataar jhuuT bolte hai.n
Imran Aami
Ghazal
bhuuk aisii hai ki mai.n KHud ko bhii khaa saktaa huu.n
kaisaa ye qaht lagaataar pa.Daa hai mujh me.n
Anjum Saleemi
Ghazal
tairaak lagaataar yahaa.n Duub rahe hai.n
chup-chaap mai.n dariyaa kaa hunar dekh rahaa huu.n
Balmohan panday
Ghazal
mumkin nahii.n hai us ko lagaataar dekhnaa
ruk ruk ke us ko dekh agar dekhnaa bhii hai
Ashraf Yousafi
Ghazal
aap to zulm lagaataar kiye jaate hai.n
mujh se taakiid pe taakiid hai fariyaad na kar
Bedam Shah Warsi
Ghazal
us kaa har baat me.n inkaar dukhii kartaa hai
mujh ko ik shaKHs lagaataar dukhii kartaa hai
Mirza Raahil
Ghazal
is pe kyaa Gam ki churaa.ii hai.n nigaahe.n us ne
mai.n bhii to us ko lagaataar nahii.n dekh sakaa
Danish Naqwi
Ghazal
vo mil gayaa phir bhii ye lagaataar udaasii
shaayad hai ko.ii aur bhii dha.Dkaa mire dil me.n
Sabir Waseem
Ghazal
ye saaf lagtaa hai jaisii ki us kii aa.nkhe.n thii.n
vo asl me.n mujhe biimaar karne aayaa thaa
Zafar Iqbal
Ghazal
har samt dekhtaa huu.n lagaataar matlabii
is paar matlabii miyaa.n us paar matlabii
Mannan Qdeer Mannan
Ghazal
KHvaab palko.n pe chale aate hai.n aa.nsuu ban kar
is liye tujh ko lagaataar nahii.n dekhtaa mai.n
Inaam azmi
Ghazal
paas aa jaataa hai mai.n duur chalaa jaa.uu.n to
us ne duurii bhii lagaataar banaa rakkhii hai
Govind Gulshan
Ghazal
silsila TuuT na jaa.e mirii vahshat kaa kahii.n
naqsh qadmo.n ke lagaataar banaane hai.n mujhe
Fazil Jamili
Ghazal
is paar mai.n huu.n jhiil ke us paar aap hai.n
lahro.n ke aa.ino.n me.n lagaataar aap hai.n
Kashif Syed
Ghazal
ye junuu.n mujh pe lagaataar nahii.n rahtaa hai
hijr ab teraa asar-daar nahii.n rahtaa hai
Khalid Azad
Ghazal
hamaarii samt lagaataar vaar hote hu.e
use bachaane me.n aksar mai.n choT khaataa hu.aa