SEARCH RESULTS
Showing search results for "लहू-लुहान"
Ghazal MATCHES FOR "लहू-लुहान"
Ghazal
lahuu-luhaan thaa manzar havaa shikasta thii
hamaare chaaro.n taraf ik ajiib duniyaa thii
Sham Rizvi
Ghazal
lahuu-luhaan saa manzar hamaarii aa.nkh me.n hai
hamaaraa jaltaa hu.aa ghar hamaarii aa.nkh me.n hai
Ahsan Imam Ahsan
Ghazal
lahuu-luhaan thaa shaaKH-e-gulaab kaaT ke vo
hu.aa halaak chaTaano.n ke KHvaab kaaT ke vo
Musavvir Sabzwari
Ghazal
lahuu-luhaan pa.Daa thaa zamii.n par ik suuraj
parinde apne paro.n se havaa.e.n karne lage
Rahat Indori
Ghazal
hamaare shahr kii biinaa.iyo.n pe rote hai.n
tamaam shahr ke manzar lahuu-luhaan pa.De
Rahat Indori
Ghazal
lahuu-luhaan jo raste hu.e mohabbat ke
ham aasmaa.n pe chale kahkashaa.n banaate hu.e
Zakia Ghazal
Ghazal
junuu.n na kahiye ise KHud-aziyyatii kahiye
badan tamaam hu.aa hai lahuu-luhaan miraa
Nashtar Khaanqahi
Ghazal
lahuu-luhaan shahiido.n se sharmsaar vo din
vo biibiyo.n ke khule sar kii raat sharminda
Nasira Zuberi
Ghazal
lahuu-luhaan to ko.ii nazar nahii.n aataa
lahuu me.n Duubii magar sab kii u.ngliyaa.n dekhuu.n
Parkash Fikri
Ghazal
kha.Dii hai phir ko.ii diivaar mere raste me.n
lahuuluhaan mai.n phir se jabii.n nikaaltaa huu.n
Shakeel Azmi
Ghazal
soche.n bhii aaj-kal hai.n ye merii lahuuluhaan
jaise darinda bhaag gayaa chiir phaa.D ke
Rasheed Sandeelvi
Ghazal
gila nahii.n hai jo us ne mujhe na pahchaanaa
lahuu-luhaan mirii zindagii kaa chehra thaa
Ateeq Anzar
Ghazal
gumaa.n na thaa ki lifaafe me.n KHat ke badle vo
lahuu-luhaan ta.Daptii zabaan rakh degaa
Sadiq
Ghazal
sameTnaa na sar-e-raah KHvaab kii kirche.n
lahuu-luhaan kabhii apne haath mat karnaa
Naseer Parwaz
Ghazal
taa.ir lahuu-luhaan hai KHvaab-o-KHayaal kaa
ye hai hamaare KHvaab kii ta.abiir dekhiye
Siddiq Fatahpuri
Ghazal
ye kyaa ki phir bhii jism hai apnaa lahuu-luhaan
aataa hu.aa kahii.n se na patthar dikhaa.ii de
Mohsin Zaidi
Ghazal
lahuu-luhaan gulo.n ko bahut kiyaa jis ne
ga.ii bahaar to vo taa.ir-e-havas bhii gayaa