SEARCH RESULTS
Showing search results for "शुक्र-ए-ख़ुदा"
Ghazal MATCHES FOR "शुक्र-ए-ख़ुदा"
Ghazal
tere har jaur pe yaa.n shukr-e-KHudaa hai ai dost
ki yahii maslak-e-arbaab-e-vafaa hai ai dost
Shafqat Kazmi
Ghazal
Waheed Quraishi
Ghazal
Zahid Al-Ehsani Loharvi
Ghazal
bosa maa.ngaa to kahaa shukr-e-KHudaa achchhaa huu.n
baat kyaa jald u.Daa.ii hai ilaahii tauba
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
shukr-e-KHudaa-e-paak hai ai 'naadir'-e-hazii.n
ummat me.n ham rasuul kii kahlaa.e jaate hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Ghazal
shukr-e-KHudaa ki zulm se ma.azuur hai falak
bartaaniya hai KHalq kii Gam-KHvaar aaj-kal
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
dekhe mire sanam ko to rohbaan-e-ishq bhii
salle-alaa kahe kabhii shukr-e-KHudaa kare
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
sajda-e-shukr-e-KHudaa ham se adaa kyaa ho 'tarab'
dil to diivaana-e-asnaam hai aazar kii tarah
Tarab Siddiqi
Ghazal
'hafiiz' aisii falaakat ke dino.n me.n
faqat shukr-e-KHudaa hai aur mai.n huu.n
Hafeez Jalandhari
Ghazal
jalva-e-husn-e-KHudaa-daad dikhaa kar dilbar
misl-e-aa.iina kiyaa aap ne hairaa.n mujh ko
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
ko.ii masruuf hai shukr-e-KHudaa me.n
ko.ii din-raat shikva kar rahaa hai
Mashkoor Mamnoon Qannauji
Ghazal
lab pe ho shukr-e-KHudaa har haal me.n
zindagii ko yuu.n guzaaraa kiijiye
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
Ghazal
jalva dikhaa de KHvaab me.n bahr-e-KHudaa mujhe
aa.nkhe.n taras ga.ii.n tire diidaar ke liye
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
hogaa pur-nuur siyah-KHaana hamaare dil kaa
is me.n tum Gaus-e-KHudaa ko zaraa aa jaane do
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
daaG ban kar to rahaa daaman-e-qaatil pe magar
buu-e-KHuu.n bahr-e-KHudaa buu-e-vafaa ho jaanaa
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
ye ishq 'jamiila' kaa ai KHizr-e-rah-e-ulfat
mahbuub ke jalve ko asraar-e-KHudaa jaanaa