SEARCH RESULTS
Showing search results for "सबात"
Ghazal MATCHES FOR "सबात"
Ghazal
ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-ra.ng-o-buu kare.n
Khwaja Meer Dard
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
magar sabaat nahii.n be-sabiil rasto.n me.n
ki paa.nv so ga.e 'saaqii' rikaab pahne hu.e
Saqi Faruqi
Ghazal
jo be-sabaat ho us sarKHushii ko kyaa kiije
ye zindagii hai to phir zindagii ko kyaa kiije
Noon Meem Rashid
Ghazal
har sub.h jab ki sub.h-e-qayaamat kii tarah aa.e
aise me.n kaun hogaa jo soche sabaat kii
Parveen Shakir
Ghazal
jiinaa jo aa gayaa to ajal bhii hayaat hai
aur yuu.n to umr-e-KHizr bhii kyaa be-sabaat hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
sabaat bahr-e-jahaa.n me.n nahii.n kisii ko 'amiir'
idhar numuud hu.aa aur udhar hubaab na thaa
Ameer Minai
Ghazal
kaar-KHaane jitne hai.n duniyaa ke sab hai.n be-sabaat
aa.nkh se jo aaj dekhaa kal vo afsaana hu.aa
Rind Lakhnavi
Ghazal
kyaa mujhe KHush aa.e ye hairat-saraa-e-be-sabaat
hosh u.Dne ke liye hai jaan jaane ke liye
Akbar Allahabadi
Ghazal
kahii.n sabaat hai nahii.n ye kaa.enaat hai nahii.n
magar umiid-e-diid me.n tasavvur-e-jamaal me.n
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
zaKHmii hu.aa hai paashna paa-e-sabaat kaa
ne bhaagne kii guu.n na iqaamat kii taab hai
Mirza Ghalib
Ghazal
dar-parda vo hii maa'nii muqavvam na ho.n agar
suurat na pak.De kaam falak ke sabaat kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
shaam-e-abad ko jalva-e-sub.h-e-bahaar de
ruudaad chhe.D zindagii-e-be-sabaat kii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
kam-nihaad-o-be-sabaat insaan me.n
jaane kyaa kyaa jam.a kar detaa hai ishq