SEARCH RESULTS
Showing search results for ".ekdj"
Ghazal MATCHES FOR ".ekdj"
Ghazal
dil hu.aa kasmakash-e-chaara-e-zehmat me.n tamaam
miT gayaa ghisne me.n is uqde kaa vaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ai aah merii KHaatir-e-vaabasta ke sivaa
duniyaa me.n ko.ii uqda-e-mushkil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Ghazal
gauhar ko aqd-e-gardan-e-KHuubaa.n me.n dekhnaa
kyaa auj par sitaara-e-gauhar-farosh hai
Mirza Ghalib
Ghazal
huu.n mubtalaa-e-yaqii.n merii mushkile.n mat puuchh
gumaan-e-uqda-kushaa bhii nahii.n rahaa ab to
Jaun Eliya
Ghazal
baadal garaj rahaa thaa idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljhaa sharaab pii
Ahmad Faraz
Ghazal
kahaanii aap uljhii hai ki uljhaa.ii ga.ii hai
ye uqda tab khulegaa jab tamaashaa KHatm hogaa
Iftikhar Arif
Ghazal
vo tuu ki ‘uqda-kushaa-o-musabbib-ul-asbaab
ye mai.n ki aap mo'amma huu.n aap apnaa hii hal
Ahmad Faraz
Ghazal
rone se ai nadiim malaamat na kar mujhe
aaKHir kabhii to uqda-e-dil vaa kare ko.ii
Mirza Ghalib
Ghazal
bastan-e-ahd-e-mohabbat hama naa-daanii thaa
chashm-e-nakushuuda rahaa uqda-e-paimaa.n mujh se
Mirza Ghalib
Ghazal
afsos ki dandaa.n kaa kiyaa rizq falak ne
jin logo.n kii thii dar-KHur-e-aqd-e-guhar a.ngusht
Mirza Ghalib
Ghazal
maanind-e-sub.ha uqde na dil ke kabhuu khule
jii apnaa kyuu.n ki uchTe na roze namaaz se
Meer Taqi Meer
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
Jigar Barelvi
Ghazal
gar khule dil kii girah tujh se to ham jaane.n tujhe
ai sabaa Gunche kaa uqda khol denaa sahl hai
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
yaa.n rah ga.e hai.n naaKHun-e-tadbiir TuuT kar
jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aa.ina
Mirza Ghalib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaaq'
kabhii laa-hal kabhii mushkil kabhii aasaa.n ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
sahar hu.ii to ye uqda bhii taa.ero.n pe khulaa
ki aashiyaa.n hii nahii.n ab ke baal-o-par bhii ga.e
Abbas Rizvi
Ghazal
apne vajuud kaa abhii uqda khulaa nahii.n
masruuf hill-o-aqd mai.n arz-o-samaa ke hai.n