SEARCH RESULTS
Showing search results for ".ija"
Ghazal MATCHES FOR ".ija"
Ghazal
iizaa-dahii kii daad jo paataa rahaa huu.n mai.n
har naaz-aafrii.n ko sataataa rahaa huu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
ho ga.e hai.n jamaa ajzaa-e-nigaah-e-aaftaab
zarre us ke ghar kii diivaaro.n ke rauzan me.n nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
vo sham.a bujh ga.ii thii to kohraam thaa tamaam
dil bujh ga.e to shor-e-azaa kyuu.n nahii.n hu.aa
Irfan Siddiqi
Ghazal
ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahtii hai
aisaa lagtaa hai ki kuchh TuuT gayaa hai mujh me.n
Irfan Sattar
Ghazal
ye be-hisii to mirii zid thii mere ajzaa se
ki mujh me.n apne ta.aaqub kaa Dar na rah jaa.e
Abhishek Shukla
Ghazal
na jaane kis liye KHushiyo.n se bhar chuke hai.n dil
makaan ab ye azaa-KHaane honaa chaahte hai.n
Asad Badayuni
Ghazal
allaah re terii tundi-e-KHuu jis ke biim se
ajzaa-e-naala dil me.n mire rizq-e-ham hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
unhe.n manzuur apne zaKHmiyo.n kaa dekh aanaa thaa
uThe the sair-e-gul ko dekhnaa shoKHii bahaane kii
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n mar chukaa huu.n mujhe kyuu.n yaqii.n nahii.n aataa
to kyaa ye mere azaa-daar jhuuT bolte hai.n
Imran Aami
Ghazal
mere uzr-e-jurm par mutlaq na kiije iltifaat
balki pahle se bhii ba.Dh kar kaj-adaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Ghazal
mu'aaf kar mirii mastii KHudaa-e-azza-va-jal
ki mere haath me.n saaGar hai mere lab pe Gazal
Ahmad Faraz
Ghazal
kiyaa aa.iina-KHaane kaa vo naqsha tere jalve ne
kare jo partav-e-KHurshiid aalam shabnamistaa.n kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
yaa rab visaal-e-yaar me.n kyuu.nkar ho zindagii
niklii hii jaan jaatii hai har har adaa ke saath
Momin Khan Momin
Ghazal
nahii.n marte hai.n to iizaa nahii.n jhelii jaatii
aur marte hai.n to paimaa.n-shikanii hotii hai
Hafeez Jaunpuri
Ghazal
jaarii hai.n paa-e-shauq kii iizaa-rasaaniyaa.n
ab kuchh nahii.n to sair-e-bayaabaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Ghazal
soz-e-Gam dekh na barbaad ho haasil meraa
dil kii tasviir hai har aa.iina-e-dil meraa