SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHush-haal"
Ghazal MATCHES FOR "KHush-haal"
Ghazal
ye 'ajab kuucha-e-KHush-haal hai is me.n har shaKHs
apne haalaat se bezaar nazar aataa hai
Asim Wasti
Ghazal
hamaare shauq ke aasuuda-o-KHush-haal hone tak
tumhaare aariz-o-gesuu kaa saudaa ho chukaa hogaa
Jaun Eliya
Ghazal
KHush-haal zindagii thii mai.n KHush-haal thaa bahut
ik dam se ek din mirii duniyaa badal ga.ii
Sohil Barelvi
Ghazal
yahii ki tuu ba.Daa KHush-haal hai KHudaavandaa
zaraa pata nahii.n chaltaa jahaa.n kii haalat se
Nomaan Shauque
Ghazal
Minhaj Khan
Ghazal
KHush-haal bhii ho saktaa huu.n mai.n chashm-e-zadan me.n
mere liye us jism kaa sonaa hii bahut hai
Zafar Iqbal
Ghazal
jo thaa fuzuul-KHarch vo bad-haal hii rahaa
kam KHarch jis kaa thaa vo hai KHush-haal aaj bhii
Rana Mazhari Dehlvi
Ghazal
mujh ko KHush-haal vo paa kar kahii.n be-zaar na ho
kah do tum taale-e-KHvaabiida se bedaar na ho
Muhammad Rashid Athar
Ghazal
hu.aa KHush-haal to pak.Daa hai daaman
mai.n thaa jab muztarib to tuu kahaa.n thaa
Irshad Atif
Ghazal
zaraa sii der me.n kashkol bharne vaalaa thaa
miraa KHudaa mujhe KHush-haal karne vaalaa thaa
Azlan shah
Ghazal
aaj KHush-haal hai.n to dono.n alag rahte hai.n
jo buraa vaqt thaa vo saath guzaaraa ham ne
Wasim Nadir
Ghazal
maa.n baap kii KHidmat se jo mahruum rahaa ho
phir kaise zamaane me.n vo KHush-haal rahegaa
Dard Sironji
Ghazal
damakte jugnu.o.n ke raqs se maa'luum hotaa hai
zamii.n KHush-haal rahtii hai na.e paude lagaane se
Mehmood Rashid
Ghazal
ik KHvaab ham ne dekhaa KHush-haal gulsitaa.n hai
aur saath ye bhii dekhaa KHush-haal baaGbaa.n hai
Pallavi Mishra
Ghazal
tuu jinhe.n bech ke KHush-haal nahii.n hotaa hai
qissa-go aise latiife mujhe vaapas kar de
Fay Seen Ejaz
Ghazal
jis se miliye nazar aataa hai ba-zaahir KHush-haal
andar andar se pareshaan ye ghar kaisaa hai