SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaina e jamal bilqe"
Ghazal MATCHES FOR "aaina e jamal bilqe"
Ghazal
gum is qadar hu.e aa.iina-e-jamaal me.n ham
usii ko Dhuu.nDte hai.n us ke KHadd-o-KHaal me.n ham
Mohsin Ehsan
Ghazal
har shai ko merii KHaatir-e-naashaad ke liye
aa.iina-e-jamaal banaa kar chale ga.e
Jigar Moradabadi
Ghazal
kitne hasiin KHvaab taraste hai.n diid ko
aa.iina-e-jamaal pe baiThegii kitnii KHaak
Shafaq Sopori
Ghazal
sidq o safaa sikhaataa hai nazzaara-baaz ko
aa.iina-e-jamaal tiraa sar se paa.nv tak
Shad Azimabadi
Ghazal
aa.iina-e-jamaal ko dekhuu.ngaa kis tarah
us ne to pahle hii mujhe hairaa.n banaa diyaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Ghazal
har zarre ko sikhaa.ii hai jis ne musavvirii
aa.iina-e-jamaal jhalak bhii usii kii hai
Zubair Ahmad Saani
Ghazal
jalva dikhaa rahaa hai vo aa.iina-e-jamaal
aatii hai ham ko sharm ki kyaa mu.nh dikhaa.e.n ham
Dagh Dehlvi
Ghazal
taab-e-nazar se un ko pareshaa.n kiye hu.e
aa.iina-e-jamaal ko hairaa.n kiye hu.e
Mushir Jhanjhanvi
Ghazal
mushaahide ko ik aa.iina-e-jamaal diyaa
kamaal-e-ishq ne jauhar dikhaa diye dil ke
Yagana Changezi
Ghazal
nazar ke saamne aa.iina-e-jamaal rahaa
niyaaz-e-ishq kii aaj itnii aabruu to hu.ii
Saifi Premi
Ghazal
suurat-numaa ho ishq tiraa phir kahaa.n agar
aa.iina-e-jamaal-e-saraapaa shikast ho
Sulaiman Shikoh Gordner Fana
Ghazal
jalne lagii naqaab-e-husn kau.nd ga.ii.n vo bijliyaa.n
aa.ina-e-jamaal me.n ra.ng-e-jalaal aa gayaa
Saqib Rampuri
Ghazal
mirii Gazal kii sabaahat ko KHadd-o-KHaal to de
aur is KHayaal ko aa.iina-e-jamaal to de
Hasrat Shadani
Ghazal
aa.iiina-e-jamaal-e-jahaa.n ko bahut na dekh
Dartaa hai dil kahii.n tujhe apnii nazar na ho
Bekhud Mohani
Ghazal
to.Daa hai tuu ne jab se mire dil kaa aa.ina
andaaza-e-jamaal mujhe bhii nahii.n rahaa
Baqi Ahmad Puri
Ghazal
saKHt nazar-fareb hai aa.ina-KHaana-e-jamaal
us kii chamak-damak na dekh, dekh bujhaa bujhaa mujhe
Anwar Shuoor
Ghazal
aks-e-safaa-e-qalb kaa jauhar hai aa.iina
vaarafta-e-jamaal KHud-aaraa kahe.n jise
Dattatriya Kaifi
Ghazal
jis se ayaa.n ho dahr kaa ehsaas-e-be-ruKHii
aa.iina vo 'jamaal' hamaarii nazar me.n hai