SEARCH RESULTS
Showing search results for "afsos"
Ghazal MATCHES FOR "afsos"
Ghazal
duur se aa.e the saaqii sun ke mai-KHaane ko ham
bas taraste hii chale afsos paimaane ko ham
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
vo apne ghar chalaa gayaa afsos mat karo
itnaa hii us kaa saath thaa afsos mat karo
Bashir Badr
Ghazal
chal base vo din ki yaaro.n se bharii thii anjuman
haa.e afsos aaj suurat-aashnaa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
afsos ve shahiid ki jo qatl-gaah me.n
lagte hii us ke haath kii talvaar mar ga.e
Meer Taqi Meer
Ghazal
saahil ke tamaashaa.ii har Duubne vaale par
afsos to karte hai.n imdaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
har gul me.n dekhtaa ruKH-e-lailaa vo aa.nkh se
afsos qais dasht se gulshan nahii.n gayaa
Anwar Shuoor
Ghazal
kyuu.n havelii ke uja.Dne kaa mujhe afsos ho
saik.Do.n be-ghar parindo.n ke Thikaane ho ga.e
Bashir Badr
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
taa kujaa afsos-e-garmii-haa-e-sohbat ai KHayaal
dil ba-soz-e-aatish-e-daaG-e-tamannaa jal gayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ai naala sad afsos javaa.n marne pe tere
paayaa na tanik dekhne tii.n ruu-e-asar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
apnii poshaak ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salaamat nahii.n rahte yahaa.n dastaar ke biich
Mohsin Naqvi
Ghazal
afsos ke jangal me.n bhaTakte hai.n KHayaalaat
ram bhuul ga.e KHauf se vahshat nahii.n karte
Saqi Faruqi
Ghazal
zindagii tujh ko jiyaa hai ko.ii afsos nahii.n
zahr KHud mai.n ne piyaa hai ko.ii afsos nahii.n
Sudarshan Faakir
Ghazal
Mehshar Afridi
Ghazal
ab ga.e us ke juz afsos nahii.n kuchh haasil
haif sad haif ki kuchh qadr na jaanii us kii