SEARCH RESULTS
Showing search results for "an-sunaa"
Ghazal MATCHES FOR "an-sunaa"
Ghazal
kyaa baat thii ki jo bhii sunaa an-sunaa hu.aa
dil ke nagar me.n shor thaa kaisaa machaa hu.aa
Raj Narayan Raaz
Ghazal
an-sunaa kar rahaa hai zamaana hame.n
KHaamushii me.n izaafa kiyaa jaa.egaa
Raghunandan Sharma Danish
Ghazal
sunaa an-sunaa kar diyaa hai sabhii ne
mai.n logo.n me.n hotaa huu.n elaan jaisaa
Zeenatullah Javed
Ghazal
haashiye par pa.De ham bhalaa kyaa kahe.n
jab bhii jo bhii kahaa an-sunaa rah gayaa
Gautam Rajrishi
Ghazal
kise qubuul karuu.n kis ko an-sunaa kar duu.n
ye aatii jaatii sadaa.o.n kaa silsila kyaa hai
Midhat-ul-Akhtar
Ghazal
kabhii kabhii jo parinde bhii an-sunaa kar de.n
to haal dil kaa shajar ko sunaayaa jaataa hai
Varun Anand
Ghazal
har ek lafz kii aa.nkho.n se ashk bahne lage
sune ko an-sunaa kar ke ko.ii guzarne lagaa
Shahbaz Nayyar
Ghazal
ik harf thaa jo tum ne sunaa an-sunaa kiyaa
ab Dhuu.nDte phiro ki sadaa le ga.ii mujhe
Nau Bahar Sabir
Ghazal
bikhre hu.e pa.De raho ab apnii zaat me.n
kyo.n an-sunaa kiyaa thaa lahuu kii pukaar ko