SEARCH RESULTS
Showing search results for "anaasir"
Ghazal MATCHES FOR "anaasir"
Ghazal
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
dastaras me.n hai.n anaasir ke iraade kis ke
so bikhar ke hii rahaa ko.ii bikharne vaalaa
Parveen Shakir
Ghazal
yaa KHalaa par hukmaraa.n yaa KHaak ke andar nihaa.n
zindagii DaT kar anaasir ke muqaabil aa ga.ii
Hafeez Hoshiarpuri
Ghazal
dastaras me.n hai.n anaasir ke iraade kis ke
so bikhar ke hii rahaa ko.ii bikharne vaalaa
Parveen Shakir
Ghazal
hai.n 'anaasir kii ye suurat-baaziyaa.n
sho'bade kyaa kyaa hai.n un chaaro.n ke biich
Meer Taqi Meer
Ghazal
mere anaasir KHaak na ho.n bas rang bane.n
aur jangal sahraa dariyaa par barse rang
Swappnil Tiwari
Ghazal
chaar diivaar-e-anaasir kii haqiiqat kitnii
ye bhii ghar Duub gayaa diida-e-KHuu.n-baar pe KHaak
Irfan Siddiqi
Ghazal
Farhat Ehsas
Ghazal
likkhii hu.ii thii qaid-e-anaasir nasiib me.n
le kar chale hai.n apnaa qafas aashiyaa.n se ham
Fana bulandshahri
Ghazal
aag ke saath mai.n bahtaa hu.aa paanii sun.naa
raat-bhar apne anaasir kii sunaanii sun.naa
Ameer Imam
Ghazal
ruuh paaband-e-anaasir hai bas itnii 'taalib'
jaise mehmaan musaafir ho ko.ii raat kii raat
Talib Baghpati
Ghazal
janaab qarz chukaayaa hai yuu.n anaasir kaa
ki zindagii inhii chaaro.n me.n baa.nT dii mai.n ne
Kashif Husain Ghair
Ghazal
zaahir me.n ham insaan hai.n miTTii ke khilaune
baatin me.n magar tund anaasir kaa Gazab hai.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
giraa.e sail-e-anaasir kii chaar diivaarii
KHaraab KHaana-e-tan chashm-e-ashk-baar kare.n
Rind Lakhnavi
Ghazal
oxigen se shabistaan-e-anaasir taabnaak
muztarib har zii-nafas us kii rifaaqat ke liye
Hafeez Hoshiarpuri
Ghazal
vahii hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'aatish'
jab e'tidaa-e-anaasir me.n iKHtilaal hu.aa