SEARCH RESULTS
Showing search results for "ashk-e-musalsal"
Ghazal MATCHES FOR "ashk-e-musalsal"
Ghazal
na kyuu.n ki ashk-e-musalsal ho rahnumaa dil kaa
tariiq-e-ishq me.n jaarii hai silsila dil kaa
Shah Naseer
Ghazal
madad ai jazba-e-ashk-e-musalsal saa.ns lene de
sukhaa lene de bhiigii aastii.n aahista aahista
Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
Ghazal
ye ashk-e-musalsal hai.n mahaz ashk-e-musalsal
haa.n naam tumhaaraa mujhe japnaa nahii.n aataa
Anand Narayan Mulla
Ghazal
log rote bhii hai.n turbat me.n luTaa kar ai 'ashk'
aur siine pe bhii ik sa.ng-e-giraa.n rakhte hai.n
Ashk Rampuri
Ghazal
Ashk Sanbhali
Ghazal
ai 'ashk' zindagii me.n na puuchhii kisii ne baat
ab KHaak chuumte hai.n hamaare mazaar kii
Ashk Amritsari
Ghazal
Ashk Sanbhali
Ghazal
ashk' apne siina-e-pur-KHuu.n me.n sail-e-ashk bhii
rok rakhtaa huu.n jigar ke KHuun kii tahliil tak
Ashk Amritsari
Ghazal
KHabar hu.ii kisii mad.hosh-e-aish ko na zaraa
hamaarii bazm-e-tamannaa tamaam raat luTii
Ashk Sanbhali
Ghazal
mai.n sochtaa huu.n bhalaa mere jasd-e-KHaakii se
ai 'ashk' kyaa mire taar-e-nafas kaa rishta thaa
Raza Ashk
Ghazal
'ashk' usuul-e-kasb-e-zar se tuu nahii.n hai aashnaa
tishna-e-takmiil hai terii hama-daanii hanuuz
Ashk Amritsari
Ghazal
hai 'ishq jo mujh ko ruKH-o-gesuu se kisii ke
pa.Dhtaa huu.n vaziifa sahar-o-shaam kisii kaa
Ashk Rampuri
Ghazal
hijr me.n ashk-e-musalsal zaahidaa
aashiqo.n kaa sub.ha-e-sad-daana hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Ghazal
hamaare ashk-e-musalsal zaraa nahii.n rukte
ye ghaaT KHuub ravaa.n ho rahaa hai panghaT kaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Ghazal
bast-e-zulf-e-musalsal hai ye dil suurat-garo
dono.n jaanib us ke do zanjiir khii.nchaa chaahiye
Ishq Aurangabadi
Ghazal
is baaG me.n do-roza hai ishq-e-zindagaanii
gul kii tarah bashaashat jo ab nahii.n to phir kab
Ishq Aurangabadi
Ghazal
aasaa.n siraat-e-hashr se ho ek pal me.n paar
gar saath 'ishq'-e-aasii ke fazl-e-ilaah ho
Ishq Aurangabadi
Ghazal
dekhe na mire ashk-e-musalsal kabhii tum ne
apnii hii sadaa motiyo.n ke haar ko dekhaa